guman-e-id
iid to ik ḳhushī kā mauqa hai
aao jī bhar ḳhushī manā Dāleñ
ghar ke andar nahīñ shakar na sahī
apne bachchoñ se chal ke kah deñ ham
apne kapḌe utaar kar rakh do
go ye kapḌe haiñ pichhlī eidoñ ke
in kī qīmat kahīñ sivā hogī
aglī eidoñ meñ jab nikāloge
bīviyoñ ko chalo qasam de deñ
talḳh-tar be-maza javānī kī
husn-kārī kā iltizām na kar
aaj koī bhī ehtimām na kar
varna taqdīr ko gumāñ hogā
iid ab bhī manā rahe haiñ ham
id to ek KHushi ka mauqa hai
aao ji bhar KHushi mana Dalen
ghar ke andar nahin shakar na sahi
apne bachchon se chal ke kah den hum
apne kapDe utar kar rakh do
go ye kapDe hain pichhli eidon ke
in ki qimat kahin siwa hogi
agli eidon mein jab nikaloge
biwiyon ko chalo qasam de den
talKH-tar be-maza jawani ki
husn-kari ka iltizam na kar
aaj koi bhi ehtimam na kar
warna taqdir ko guman hoga
id ab bhi mana rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.