guman o yaqin
tumheñ gumāñ hai ki zauq-e-yaqīñ hai vaj.h-e-jumūd
asīr-e-qaid-e-tilismāt-e-īn-o-āñ tum ho
maqām-e-sidra-o-tūbā kī kyā ḳhabar tum ko
abhī to chāñd sitāroñ ke darmiyāñ tum ho
ye irtiqā kī tag-o-dau ye jehd-e-fikr-o-amal
gumāñ ke dam se hai in kā vajūd kahte ho
muzāharāt-e-jahāñ par tumheñ yaqīñ kyoñ hai
yaqīñ ko tum to binā-e-jumūd kahte ho
isī yaqīñ pe banāte ho zindagī ke mahal
isī yaqīñ ko samajhte ho zehn kī taqsīr
yahī yaqīñ to hai sūrat-kushā-e-naqsh-e-hayāt
isī yaqīñ se to paanī pe khīñchte ho lakīr
isī yaqīñ se jo ik ḳhatt-e-mustaqīm-e-hayāt
zamīñ pe khīñchnā chāheñ to ham haiñ saudā.ī
tumhīñ batāo ki donoñ meñ kaun afzal hai
hamārā zauq-e-yaqīñ yā tumhārī dānā.ī
tumhein guman hai ki zauq-e-yaqin hai wajh-e-jumud
asir-e-qaid-e-tilismat-e-in-o-an tum ho
maqam-e-sidra-o-tuba ki kya KHabar tum ko
abhi to chand sitaron ke darmiyan tum ho
ye irtiqa ki tag-o-dau ye jehd-e-fikr-o-amal
guman ke dam se hai in ka wajud kahte ho
muzaharaat-e-jahan par tumhein yaqin kyon hai
yaqin ko tum to bina-e-jumud kahte ho
isi yaqin pe banate ho zindagi ke mahal
isi yaqin ko samajhte ho zehn ki taqsir
yahi yaqin to hai surat-kusha-e-naqsh-e-hayat
isi yaqin se to pani pe khinchte ho lakir
isi yaqin se jo ek KHatt-e-mustaqim-e-hayat
zamin pe khinchna chahen to hum hain saudai
tumhin batao ki donon mein kaun afzal hai
hamara zauq-e-yaqin ya tumhaari danai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.