gurez kartī huī rutoñ meñ
khañDar ke andar
koī chiTḳhinī lagā ke baiThā
‘majīd-amjad' ko paḌh rahā hai
ye saat rangoñ ke canvas par jo āTHvāñ hai
ye shā'irī hai
'ajīb bhedoñ kā silsila hai
safar pe nikleñ
to din kī daldal meñ dhañste paañv
purāne rastoñ ko muḌ ke dekheñ
jahāñ kabhī koī muntazir thā
kabhī jo aane meñ der hotī
to us kī āñkhoñ meñ aañsū hote
vo nam palastar ko chiir detā
ye amphi-theatre kī sīḌhiyāñ haiñ
yahāñ pe baiThe hasīn chehroñ ko afrūdetī ne chun liyā hai
ba-juz mohabbat
ye dil hai ḳhālī khanaktā bartan
jise tamanna kī bārishoñ ne bharā nahīñ hai
hamārī āñkhoñ pe raushnī kā zuhūr hone se thoḌā pahle
kisī ne channel badal diyā thā
gurez karti hui ruton mein
khanDar ke andar
koi chiTKHini laga ke baiTha
‘majid-amjad' ko paDh raha hai
ye sat rangon ke canwas par jo aaTHwan hai
ye sha'iri hai
'ajib bhedon ka silsila hai
safar pe niklen
to din ki daldal mein dhanste panw
purane raston ko muD ke dekhen
jahan kabhi koi muntazir tha
kabhi jo aane mein der hoti
to us ki aankhon mein aansu hote
wo nam palastar ko chir deta
ye amphi-theatre ki siDhiyan hain
yahan pe baiThe hasin chehron ko afrudeti ne chun liya hai
ba-juz mohabbat
ye dil hai KHali khanakta bartan
jise tamanna ki barishon ne bhara nahin hai
hamari aankhon pe raushni ka zuhur hone se thoDa pahle
kisi ne channel badal diya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.