maiñ ne jis raah ko muddat se badal Daalā hai
phir se vo raah dikhāne ko chalī aa.ī ho
apne nainoñ se sulagte hue dīpak le kar
pyaar kī jot jagāne ko chalī aa.ī ho
merī ummīd ke TuuTe hue patvāroñ ko
tund hālāt ke tūfān se Takrāne do
ik tahī-dast kī mazlūm tamannāoñ ko
barbariyyat ke har aivān se Takrāne do
ek mehvar hī pe chaltī rahe tā-umr mudām
zindagī itnī mirī jaan subuk-gām nahīñ
apnī majbūr mohabbat kī shikastoñ kī qasam
arsa-e-jehd meñ hastī mirī nākām nahīñ
apnī hassās tabī.at kī qasam hai mujh ko
dil meñ ab pyaar kā pahlā sā vo ehsās nahīñ
in meñ ab ek na.ī aag kī hiddat hai magar
mere anfās meñ ab pahlī sī bū-bās nahīñ
jis kī tanvīr nikhāregī mohabbat kā jamāl
ab mire zehn meñ vo sub.h sī lahrātī hai
raah kī zulmat-e-be-rang ke bā-vasf mujhe
jagmagātī huī qindīl nazar aatī hai
main ne jis rah ko muddat se badal Dala hai
phir se wo rah dikhane ko chali aai ho
apne nainon se sulagte hue dipak le kar
pyar ki jot jagane ko chali aai ho
meri ummid ke TuTe hue patwaron ko
tund haalat ke tufan se Takrane do
ek tahi-dast ki mazlum tamannaon ko
barbariyyat ke har aiwan se Takrane do
ek mehwar hi pe chalti rahe ta-umr mudam
zindagi itni meri jaan subuk-gam nahin
apni majbur mohabbat ki shikaston ki qasam
arsa-e-jehd mein hasti meri nakaam nahin
apni hassas tabiat ki qasam hai mujh ko
dil mein ab pyar ka pahla sa wo ehsas nahin
in mein ab ek nai aag ki hiddat hai magar
mere anfas mein ab pahli si bu-bas nahin
jis ki tanwir nikhaaregi mohabbat ka jamal
ab mere zehn mein wo subh si lahraati hai
rah ki zulmat-e-be-rang ke ba-wasf mujhe
jagmagati hui qindil nazar aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.