gurudev
ai mire shā.ir-e-qad-āvar-e-shīrīñ-guftār
lab-e-afkār ko baḳhshā hai tabassum tū ne
dil kī ḳhāmosh umangoñ ko zabāñ baḳhshī hai
rūh-e-afsurda ko baḳhshā hai tarannum tū ne
tere siine meñ jo thā sho.ala-e-afkār nihāñ
naḳhl-e-bātil kī har ik shāḳh jalā dī us ne
pūrabī saaz pe jo tū ne tarāna chheḌā
bazm-e-maġhrib meñ bhī ik aag lagā dī us ne
hai ye taslīm gurudev vatan meñ tere
zindagī ḳhāk-basar aaj nazar aatī hai
jis taraf dekhiye hai tīra-dilī kā manzar
raushnī shahr-badar aaj nazar aatī hai
qaul terā ye mujhe yaad hai 'tagore' magar
tīrgī laakh baḌhe us kā hai anjām sahar
ai mere shair-e-qad-awar-e-shirin-guftar
lab-e-afkar ko baKHsha hai tabassum tu ne
dil ki KHamosh umangon ko zaban baKHshi hai
ruh-e-afsurda ko baKHsha hai tarannum tu ne
tere sine mein jo tha shoala-e-afkar nihan
naKHl-e-baatil ki har ek shaKH jala di us ne
purabi saz pe jo tu ne tarana chheDa
bazm-e-maghrib mein bhi ek aag laga di us ne
hai ye taslim gurudew watan mein tere
zindagi KHak-basar aaj nazar aati hai
jis taraf dekhiye hai tira-dili ka manzar
raushni shahr-badar aaj nazar aati hai
qaul tera ye mujhe yaad hai 'tagore' magar
tirgi lakh baDhe us ka hai anjam sahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.