Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guzarish

Ajay Sahaab

guzarish

Ajay Sahaab

MORE BYAjay Sahaab

    ye guzārish hai duur chal do tum

    is se pahle ki pyaar kar baiThūñ

    ḳhvāb āñkhoñ meñ phir na aa jaa.eñ

    raat bhī be-qarār kar baiThūñ

    kahīñ aisā na ho takalluf ko

    dil rishta samajh le dil merā

    is tarah paas paas rahne se

    tum ko apnā samajh le dil merā

    yuuñ kah do ki aaoge milne

    aur maiñ intizār kar baiThūñ

    roz milnā kisī bahāne se

    merī aadat kahīñ na ban jaa.e

    tum se jo an-kahā rishta hai

    vo mohabbat kahīñ na ban jaa.e

    ye samajh kar tumhārā āñchal hai

    āñkhoñ ko ashk-bār kar baiThūñ

    soch kar ye ki tum sambhāloge

    maiñ kahīñ be-sabab na gir jā.ūñ

    ye samajh kar ki tum sameToge

    aur ziyāda na maiñ bikhar jā.ūñ

    is bharose meñ tum siyoge ise

    pairahan taar taar kar baiThūñ

    ye guzarish hai dur chal do tum

    is se pahle ki pyar kar baiThun

    KHwab aankhon mein phir na aa jaen

    raat bhi be-qarar kar baiThun

    kahin aisa na ho takalluf ko

    dil ka rishta samajh le dil mera

    is tarah pas pas rahne se

    tum ko apna samajh le dil mera

    yun hi kah do ki aaoge milne

    aur main intizar kar baiThun

    roz milna kisi bahane se

    meri aadat kahin na ban jae

    tum se jo an-kaha sa rishta hai

    wo mohabbat kahin na ban jae

    ye samajh kar tumhaara aanchal hai

    aankhon ko ashk-bar kar baiThun

    soch kar ye ki tum sambhaaloge

    main kahin be-sabab na gir jaun

    ye samajh kar ki tum sameToge

    aur ziyaada na main bikhar jaun

    is bharose mein tum siyoge ise

    pairahan tar tar kar baiThun

    Source :
    • Book : میں اردو بولوں(شعری مجموعہ) (Pg. 118)
    • Author : اجئے سحاب
    • Publication : اردو پریس کلب(یو۔پی۔سی) انٹر نیشنل پبلی کیشنز (2019)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now