guzarte lamhon ka matam
sunahre ḳhvāboñ kī vaadī meñ muddatoñ ham ne
ka.ī makān basā.e ka.ī makīñ badle
tamām umr rahā intizār kā aalam
guzarte lamhoñ kā mātam kiyā niDhāl rahe
na dostoñ meñ koī ab na dushmanoñ meñ koī
hamāre maazī kā ham se hisāb le kar jo
hamāre sūd-o-ziyāñ kā lagā ke andāza
hameñ batā.e ki kyā khoyā ham ne kyā paayā
bas ek vaqt kī Thokar ba-shakl-e-shām-o-sahar
hamāre paañv meñ lag lag ke pūchhtī hai roz
kahāñ se aa.e ho kab tak chaloge tum yūñhī
javāb is kā bhī hai us ke paas hī lekin
savāl karne kī aadat sī paḌ ga.ī hai use
sunahre KHwabon ki wadi mein muddaton hum ne
kai makan basae kai makin badle
tamam umr raha intizar ka aalam
guzarte lamhon ka matam kiya niDhaal rahe
na doston mein koi ab na dushmanon mein koi
hamare mazi ka hum se hisab le kar jo
hamare sud-o-ziyan ka laga ke andaza
hamein batae ki kya khoya hum ne kya paya
bas ek waqt ki Thokar ba-shakl-e-sham-o-sahar
hamare panw mein lag lag ke puchhti hai roz
kahan se aae ho kab tak chaloge tum yunhi
jawab is ka bhi hai us ke pas hi lekin
sawal karne ki aadat si paD gai hai use
- Book : Khla Ki Dhund Men Ham Chal Rahe Hain (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.