hadisa to ye bhi hai
hādisa to ye bhī hai
aisī chāñd-rātoñ meñ
dil-lagī kī bātoñ meñ
chand lā-ubālī se
jin meñ ek maiñ bhī huuñ
aur ek tum bhī ho
kuchh na sochne vaale
āgahī ke sāhil se
ḳhauf ke samundar tak
soch ke thapeḌoñ se
Dolne bhī lagte haiñ
yaas ke tarāzū meñ
haath kī lakīroñ ko
tolne bhī lagte haiñ
hādisa to ye bhī hai
ġham ye hai ki jīvan-bhar
sogvār lamhoñ meñ
jin ujaaḌ rāhoñ par
'umr kaT ga.ī jin kī
chāñdnī ne vo rāheñ
jis ghaḌī munavvar kiiñ
raushnī kī ḳhvāhish meñ
roz jāgne vaale
aisī chāñd-rātoñ ko
dekh bhī nahīñ paa.e
hādisa to ye bhī hai
hadisa to ye bhi hai
aisi chand-raaton mein
dil-lagi ki baaton mein
chand la-ubaali se
jin mein ek main bhi hun
aur ek tum bhi ho
kuchh na sochne wale
aagahi ke sahil se
KHauf ke samundar tak
soch ke thapeDon se
Dolne bhi lagte hain
yas ke taraazu mein
hath ki lakiron ko
tolne bhi lagte hain
hadisa to ye bhi hai
gham ye hai ki jiwan-bhar
sogwar lamhon mein
jin ujaD rahon par
'umr kaT gai jin ki
chandni ne wo rahen
jis ghaDi munawwar kin
raushni ki KHwahish mein
roz jagne wale
aisi chand-raaton ko
dekh bhi nahin pae
hadisa to ye bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.