hadsa
be-āvāz the aañsū is ke
chhoTe chhoTe pair the us ke
tan jaise ruuī kā gaalā
rañg thā kaalā
nadī kināre tak pairoñ ke
saare nishān salāmat the
paar nadī ke kuchh bhī nahīñ thā
paar nadī ke kuchh bhī nahīñ hai
saarī rāheñ nadiyā ke andar jaatī haiñ
aur phir vahīñ kī ho jaatī haiñ
chhoTe chhoTe pair barahna ret ke uupar phuul khilā kar
nadī kināre tak jaate haiñ
aur phir paar kahāñ jaate haiñ
har bachche ko
uḌtī titlī sargoshī meñ batlātī hai
maañ terī nadiyā ke andar
duudh kā ik mashkīza le kar
terā rasta dekh rahī hai
kaun batā.e un bachchoñ ko
maañ nadiyā ke andar kab hai
maañ tū ḳhud ik tez nadī hai
maañ ik dūdh-bharī naddī hai
be-awaz the aansu is ke
chhoTe chhoTe pair the us ke
tan jaise rui ka gala
rang tha kala
nadi kinare tak pairon ke
sare nishan salamat the
par nadi ke kuchh bhi nahin tha
par nadi ke kuchh bhi nahin hai
sari rahen nadiya ke andar jati hain
aur phir wahin ki ho jati hain
chhoTe chhoTe pair barahna ret ke upar phul khila kar
nadi kinare tak jate hain
aur phir par kahan jate hain
har bachche ko
uDti titli sargoshi mein batlati hai
man teri nadiya ke andar
dudh ka ek mashkiza le kar
tera rasta dekh rahi hai
kaun batae un bachchon ko
man nadiya ke andar kab hai
man tu KHud ek tez nadi hai
man ek dudh-bhari naddi hai
- Book : Nirdbaan (Pg. 93)
- Author : Wazir Agha
- Publication : Nusrat Anwar (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.