hashiye par likhi gai nazm
mujhe rangoñ se mohabbat thī
zindagī ke canvas par
maiñ na.e naqsh-o-nigār banānā chāhtā thā
husn kī hashr-sāmāniyāñ painT karne kī ḳhvāhish
mere lahū meñ sarsarātī thī
alhaḌ jismoñ ke zāviye
mere mū-qalam ko apnī jānib khīñchte the
āñkhoñ kī gahrā.iyoñ meñ bahte hue ḳhat
mujhe betāb karte the
mohabbat kī nazmoñ kī taḳhlīq par
mujhe musavvir banāne par tule hue the
hañste hue ruḳhsāroñ meñ bante hue Dimple
magar
maiñ majbūr kar diyā gayā
jalte hue shahr kī tasvīr-kārī par
masḳh-shuda chehroñ kī shanāḳht ke liye
phūloñ aur bachchoñ ke nauhe likhne par
qadīm lafzoñ ko na.ī ma.anaviyyat dene ke liye
mujhe ek zindagī daan karnā paḌī
mujhe rangon se mohabbat thi
zindagi ke canwas par
main nae naqsh-o-nigar banana chahta tha
husn ki hashr-samaniyan painT karne ki KHwahish
mere lahu mein sarsaraati thi
alhaD jismon ke zawiye
mere mu-qalam ko apni jaanib khinchte the
aankhon ki gahraiyon mein bahte hue KHat
mujhe betab karte the
mohabbat ki nazmon ki taKHliq par
mujhe musawwir banane par tule hue the
hanste hue ruKHsaron mein bante hue Dimple
magar
main majbur kar diya gaya
jalte hue shahr ki taswir-kari par
masKH-shuda chehron ki shanaKHt ke liye
phulon aur bachchon ke nauhe likhne par
qadim lafzon ko nai manawiyyat dene ke liye
mujhe ek zindagi dan karna paDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.