hai meri soch mein raqsan sabhi jazbaat ka rang
hai mirī soch meñ raqsāñ sabhī jazbāt kā rang
aur har rang se baḌh kar hai tirī zaat kā rang
hai gulābī magar ik shoḳh ke isbāt kā rang
zard inkār pe hairat ke savālāt kā rang
malgajā mailā sā majbūri-e-hālāt kā rang
surma.ī rang judā.ī kī hai sā.āt kā rang
kyā yahī rang hai vahshat kā siyah raat kā rang
yā ubharte hue phir zehn meñ shub.hāt kā rang
kāsnī dard kā aur maut kī sakrāt kā rang
aas kī qaus-o-quzah harf-e-munājāt kā rang
nazr-e-ehsās-e-gunah ho gayā din raat kā rang
hai ravāñ ḳhuun sā be-rabt ḳhayālāt kā rang
champa.ī maazī kā yādoñ bharī bārāt kā rang
shoḳh Thahrā hai bhaḌakte hue jazbāt kā rang
jaltā hai shauq kī tābish se mulāqāt kā rang
ḳhauf kā rang mire fardā ke ḳhadshāt kā rang
nuur hī nuur magar qibla-e-hājāt kā rang
ek har lahza badaltā huā ā.īna hai
kyoñ badaltā nahīñ phir haal kā hālāt kā rang
aa jā bhar de nā vahī mujh meñ ḳharābāt kā rang
mujh ko aa jaa.e tarīqa ki jiyūñ aaj meñ maiñ
aa ki badle to zarā mere ḳhayālāt kā rang
hai meri soch mein raqsan sabhi jazbaat ka rang
aur har rang se baDh kar hai teri zat ka rang
hai gulabi magar ek shoKH ke isbaat ka rang
zard inkar pe hairat ke sawalat ka rang
malgaja maila sa majburi-e-haalat ka rang
surmai rang judai ki hai saat ka rang
kya yahi rang hai wahshat ka siyah raat ka rang
ya ubharte hue phir zehn mein shubhat ka rang
kasni dard ka aur maut ki sakraat ka rang
aas ki qaus-o-quzah harf-e-munajat ka rang
nazr-e-ehsas-e-gunah ho gaya din raat ka rang
hai rawan KHun sa be-rabt KHayalat ka rang
champai mazi ka yaadon bhari baraat ka rang
shoKH Thahra hai bhaDakte hue jazbaat ka rang
jalta hai shauq ki tabish se mulaqat ka rang
KHauf ka rang mere farda ke KHadshat ka rang
nur hi nur magar qibla-e-hajat ka rang
ek har lahza badalta hua aaina hai
kyon badalta nahin phir haal ka haalat ka rang
aa ja bhar de na wahi mujh mein KHarabaat ka rang
mujh ko aa jae tariqa ki jiyun aaj mein main
aa ki badle to zara mere KHayalat ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.