hairat-KHana-e-imroz
ab koī phuul mire dard ke dariyā meñ nahīñ
ab koī zaḳhm mire zehn ke sahrā meñ nahīñ
na kisī jannat-e-arzī kā havāla mujh se
na jahannam kā dahaktā huā sho.ala koī
mere ehsās ke parde pe ravāñ rahtā hai
maiñ kahāñ huuñ? mujhe ma.alūm nahīñ!!
bolte lafz bhī ḳhāmosh tamannā.ī haiñ
jāgte ḳhvāb kī ta.abīr yahī hai shāyad
merī taqdīr yahī hai shāyad
maiñ jise dekhnā chāhūñ mujhe andhā kah de!
kaun huuñ maiñ mujhe ai dīda-e-bīnā kah de!
zindagī kyuuñ kisī mafhūm se aarī hī rahī
dhuup meñ jism sulagte hī chale jaate haiñ
maut kā ḳhauf simaTtā hai bikhar jaatā hai
fāḳhta jaise kisī peḌ kī shāḳhoñ meñ chhupī baiThī ho
saañs siine meñ kisī tiir kī mānind utar jaatī hai
muñh chhupā.e hue sūraj bhī fanā kī tasvīr
pyaas ban kar kisī dariyā meñ utar jaatā hai
aas ne yaas ke mahtāb se ḳhushbū māñgī
chehra-e-gul pe kisī qatra-e-shabnam kī duā utrī hai
ab koi phul mere dard ke dariya mein nahin
ab koi zaKHm mere zehn ke sahra mein nahin
na kisi jannat-e-arzi ka hawala mujh se
na jahannam ka dahakta hua shoala koi
mere ehsas ke parde pe rawan rahta hai
main kahan hun? mujhe malum nahin!!
bolte lafz bhi KHamosh tamannai hain
jagte KHwab ki tabir yahi hai shayad
meri taqdir yahi hai shayad
main jise dekhna chahun mujhe andha kah de!
kaun hun main mujhe ai dida-e-bina kah de!
zindagi kyun kisi mafhum se aari hi rahi
dhup mein jism sulagte hi chale jate hain
maut ka KHauf simaTta hai bikhar jata hai
faKHta jaise kisi peD ki shaKHon mein chhupi baiThi ho
sans sine mein kisi tir ki manind utar jati hai
munh chhupae hue suraj bhi fana ki taswir
pyas ban kar kisi dariya mein utar jata hai
aas ne yas ke mahtab se KHushbu mangi
chehra-e-gul pe kisi qatra-e-shabnam ki dua utri hai
- Book : siip-volume-46 (Pg. 140)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.