halki aur bhaari chizen
ek golī
bahut halkī hotī hai
galī ke kone par khaḌe laḌke kī
bandūq se nikalne ke ba.ad
duur faleToñ meñ
khiḌkī se nikle baazū tak pahuñchte vaqt
vo apnā saarā vazn
apnī saarī tāqat kho detī hai
aur baazū meñ surāḳh karne ke ba.ad
aage nahīñ baḌh paatī
vahīñ rah jaatī hai golī ke baazū meñ rah jaane se
aadmī ko bahut taklīf hotī hai
agar is golī ke saath
do tiin goliyāñ aur bhī hotīñ
to shāyad aadmī ko aur ziyāda taklīf ho rahī hotī
vo ye baat nahīñ sochtā
aur karāhne lagtā hai
ziyāda goliyoñ se us kī maut bhī vaaqe ho saktī thī
vo ye baat bhī nahīñ sochtā
aur rone lagtā hai
goliyoñ se bhī kam vazn rakhne vaale aañsū
bistar kī chādar aur paroñ se bhare takiye meñ
jazb ho jaate haiñ
baazū meñ aTkī huī golī ke ḳhayāl se
vo ye bhī nahīñ sochtā
ki agar us ke ba.ad halke aañsū takiye yā chādar par girne ke bajā.e
bhārī bandūq par girte rahte
to ek na ek din
use zañg lag jaatā
yā phir us kī taraf golī bhejne vaale
laḌke kā saḳht dil
us ke aañsū dekh kar
mom ho jaatā
bhārī chīzoñ kī jagah
halkī chīzeñ le letīñ
halkī chīzoñ kī jagah
kuchh aur na aa paatā
ek goli
bahut halki hoti hai
gali ke kone par khaDe laDke ki
banduq se nikalne ke baad
dur faleTon mein
khiDki se nikle bazu tak pahunchte waqt
wo apna sara wazn
apni sari taqat kho deti hai
aur bazu mein suraKH karne ke baad
aage nahin baDh pati
wahin rah jati hai goli ke bazu mein rah jaane se
aadmi ko bahut taklif hoti hai
agar is goli ke sath
do tin goliyan aur bhi hotin
to shayad aadmi ko aur ziyaada taklif ho rahi hoti
wo ye baat nahin sochta
aur karahne lagta hai
ziyaada goliyon se us ki maut bhi waqe ho sakti thi
wo ye baat bhi nahin sochta
aur rone lagta hai
goliyon se bhi kam wazn rakhne wale aansu
bistar ki chadar aur paron se bhare takiye mein
jazb ho jate hain
bazu mein aTki hui goli ke KHayal se
wo ye bhi nahin sochta
ki agar us ke baad halke aansu takiye ya chadar par girne ke bajae
bhaari banduq par girte rahte
to ek na ek din
use zang lag jata
ya phir us ki taraf goli bhejne wale
laDke ka saKHt dil
us ke aansu dekh kar
mom ho jata
bhaari chizon ki jagah
halki chizen le letin
halki chizon ki jagah
kuchh aur na aa pata
- Book : saarii nazmen (Pg. 348)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.