halla bolne wale
āñdhī thī tūfān thā kyā thā
merī mez pe kaun aayā thā
camel ink paḌī hai ulTī
gul-dānoñ meñ ret bharī hai
kursī kī Tāñgeñ tirchhī haiñ
file meñ titlī natthī hai
timepiece kā shīsha TuuTā
mez-posh par kaale dhabbe
kaTe hue aḳhbār ke photo
letter-pad meñ kāġhaz aadhe
Topī ġhā.eb hai shafer kī
kam haiñ album ke nau panne
'adnān' aur 'zaman' kahte haiñ
aiman toffē DhūñD rahe the
'hamrā' 'samra' naach rahī thiiñ
'faizī' maar rahe the chhakke
mez par hallā bolne vaale
the mere hī pyāre bache
aandhi thi tufan tha kya tha
meri mez pe kaun aaya tha
camel ink paDi hai ulTi
gul-danon mein ret bhari hai
kursi ki Tangen tirchhi hain
file mein titli natthi hai
timepiece ka shisha TuTa
mez-posh par kale dhabbe
kaTe hue aKHbar ke photo
letter-pad mein kaghaz aadhe
Topi ghaeb hai shafer ki
kam hain album ke nau panne
'adnan' aur 'zaman' kahte hain
aiman toffee DhunD rahe the
'hamra' 'samra' nach rahi thin
'faizi' mar rahe the chhakke
mez par halla bolne wale
the mere hi pyare bache
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.