hum donon
ham donoñ kā rishta dukh kā rishta thā
ham donoñ ik duuje ke sang ro sakte the
ham donoñ ik duuje ke sang ro.e bhī
phir ham meñ se ek ne hañsnā siikh liyā
ham donoñ kī āñkheñ bojhal āñkheñ thiiñ
ham donoñ ke ḳhvāb baḌe naḳhrīle the
ham donoñ ne raat kī chādar phāḌī thī
phir ham meñ se ek ne sonā siikh liyā
ham donoñ ik bastī ke do bargad the
ham donoñ pe bachche jhūlā karte the
ham donoñ ko maa.eñ kosā kartī thiiñ
phir ham meñ se ek ne chalnā siikh liyā
ham donoñ ik dariyā ke shaidā.ī the
ham donoñ pe aag kī vahshat taarī thī
ab ham donoñ ke marne kī baarī thī
phir ham se ek ne jiinā siikh liyā
hum donon ka rishta dukh ka rishta tha
hum donon ek duje ke sang ro sakte the
hum donon ek duje ke sang roe bhi
phir hum mein se ek ne hansna sikh liya
hum donon ki aankhen bojhal aankhen thin
hum donon ke KHwab baDe naKHrile the
hum donon ne raat ki chadar phaDi thi
phir hum mein se ek ne sona sikh liya
hum donon ek basti ke do bargad the
hum donon pe bachche jhula karte the
hum donon ko maen kosa karti thin
phir hum mein se ek ne chalna sikh liya
hum donon ek dariya ke shaidai the
hum donon pe aag ki wahshat tari thi
ab hum donon ke marne ki bari thi
phir hum se ek ne jina sikh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.