Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum donon mein se ek

Tanveer Anjum

hum donon mein se ek

Tanveer Anjum

MORE BYTanveer Anjum

    ham bahut thoḌe log haiñ

    vo bahut ziyāda

    ham lā-parvā haiñ ḳhud apnī zaat se

    hameñ ek dūsre ke mafādāt kyā fikr

    vo aapas meñ shīr-o-shakar haiñ

    aur hameñ kamzor rakhne ke liye

    sāz-bāz karte rahte haiñ

    un ta.adād baḌhtī rahī hai

    juuñ juuñ hamāre log

    hameñ chhoḌ kar

    un ke paas rahe haiñ

    ham kisī ko nahīñ rokte

    balki koī ek qadam bhī aage baḌhā.e

    to farz kar lete haiñ

    ki vo un jānib baḌh rahā hai

    vo muntazir dekhte rahte haiñ

    kab koī hamāre dā.ere se thoḌā bāhar nikle

    aur vo use rijhā kar apne saath milā leñ

    un ke paas ga.e logoñ meñ

    ho saktā hai ab koī afsos kartā ho

    aur vāpas aanā chāhe

    magar ham us parvā bahut kam karte haiñ

    aur ye mumkin bhī nahīñ hai

    kyūñki un ke saath vaqt zaa.e.a karne vāloñ ke paas

    hamāre liye vaqt bach nahīñ saktā

    vo intizār meñ haiñ

    bas ham meñ se ek āḳhirī bach jaa.e

    to vo use patthar maar kar halāk kar Dāleñ

    ham ek dūsre ko dekh rahe haiñ

    aur Dar rahe haiñ

    kyā ham donoñ meñ se koī

    dūsre ko patthar māregā

    hum bahut thoDe log hain

    wo bahut ziyaada

    hum la-parwa hain KHud apni zat se

    hamein ek dusre ke mafadat ki kya fikr

    wo aapas mein shir-o-shakar hain

    aur hamein kamzor rakhne ke liye

    saz-baz karte rahte hain

    un ki tadad baDhti ja rahi hai

    jun jun hamare log

    hamein chhoD kar

    un ke pas ja rahe hain

    hum kisi ko nahin rokte

    balki koi ek qadam bhi aage baDhae

    to farz kar lete hain

    ki wo un ki jaanib baDh raha hai

    wo muntazir dekhte rahte hain

    kab koi hamare daere se thoDa sa bahar nikle

    aur wo use rijha kar apne sath mila len

    un ke pas gae logon mein

    ho sakta hai ab koi afsos karta ho

    aur wapas aana chahe

    magar hum us ki parwa bahut kam karte hain

    aur ye mumkin bhi nahin hai

    kyunki un ke sath waqt zaea karne walon ke pas

    hamare liye waqt bach nahin sakta

    wo intizar mein hain

    bas hum mein se ek aaKHiri bach jae

    to wo use patthar mar kar halak kar Dalen

    hum ek dusre ko dekh rahe hain

    aur Dar rahe hain

    kya hum donon mein se koi

    dusre ko patthar marega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now