hum ek hain
hai apnā yaqīñ desh ke dīvāne sabhī haiñ
is sham.a-e-ziyā-bār ke parvāne sabhī haiñ
haiñ vaqf yahāñ is kī mohabbat ke liye ham
jaañ de deñge is desh kī azmat ke liye ham
koī bhī hameñ is se judā kar nahīñ saktā
ham se bhī koī is kā gila kar nahīñ saktā
tā-zīst isī ke liye sarshār raheñge
is mai ke hamesha hī talabgār raheñge
izzat ko kabhī is kī girāne nahīñ deñge
dushman ko kabhī aañkh uThāne nahīñ deñge
ulfat hai to āñkhoñ ke guhar ek haiñ apne
do samt sahī dil to magar ek haiñ apne
zinhār na 'shāhid' burā aapas meñ kaheñge
ham ek the ham ek haiñ ham ek raheñge
hai apna yaqin desh ke diwane sabhi hain
is shama-e-ziya-bar ke parwane sabhi hain
hain waqf yahan is ki mohabbat ke liye hum
jaan de denge is desh ki azmat ke liye hum
koi bhi hamein is se juda kar nahin sakta
hum se bhi koi is ka gila kar nahin sakta
ta-zist isi ke liye sarshaar rahenge
is mai ke hamesha hi talabgar rahenge
izzat ko kabhi is ki girane nahin denge
dushman ko kabhi aankh uThane nahin denge
ulfat hai to aankhon ke guhar ek hain apne
do samt sahi dil to magar ek hain apne
zinhaar na 'shahid' bura aapas mein kahenge
hum ek the hum ek hain hum ek rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.