ham bhāgte rahte haiñ
ik ḳhvāb se
aur us ḳhvāb se vābasta har dukh se
Darte rahte haiñ
ham jāgte rahte haiñ
har raat kisī ḳhud-sāḳhta uljhan ko suljhāne kī ḳhātir ham ḳhud se ulajhte haiñ
phir din chaḌh jaatā hai ham dekhte rahte haiñ vo sab kuchh jo ham dekh nahīñ sakte
haiñ lekin dekhnā paḌtā hai ye āñkheñ bebas ho kar dekhtī rahtī haiñ aur ham ye
sochte haiñ bīnā.ī bhī kaisī majbūrī hai bolte rahte haiñ vo sab kuchh jo ham aur
kisī se kah nahīñ paate apne aap se kah dete haiñ kabhī kabhī to koī palaT kar
pūchh bhī letā hai kyā mujh se kahā kuchh bhūlte rahte haiñ phone fridge meñ aur
chaa.e chūlhe par rakh kar bhuul ga.e to aisī koī baat nahīñ hai kabhī kabhī bas
dhyān kahīñ baT jaa.e to phir chalte chalte rastā ojhal ho jaatā hai emergency
brake lagānī paḌ jaatī hai apne aap ko ḳhud hī DhūñD ke laanā ho to thoḌī
pareshānī hotī hai ham sunte rahte haiñ vo āvāzeñ jo kisī chehre se nahīñ miltīñ
vo bāteñ jo hoñT adā nahīñ kar paate aur kaan nahīñ sun sakte haiñ ham sun
lete haiñ ham bhīgte rahte haiñ andar hī andar āñkhoñ meñ aur halaq meñ aur
siine meñ kahīñ ik sho.ala hai jo sard nahīñ paḌtā hai kabhī ham laḌte rahte haiñ
apne aap se apnī bīnā.ī se goyā.ī se aur samā.at se ham marte rahte haiñ har
roz kahīñ aur phir zinda ho jaate haiñ aur phir marte haiñ marne aur zinda hone
kā khel kisī din ḳhatm huā to mar jā.eñge