hum ki insan nahin aankhen hain
kyā faqat dekhte rahne se masā.il kī girah khultī hai
kyā faqat aañkh kī putlī meñ hai mahfūz ḳhudā.ī saarī
ham ki insān nahīñ āñkheñ haiñ
ham ne āñkhoñ ko ḳhudā samjhā ḳhudā.ī jaanā
aa.ina dekhā to in āñkhoñ ne ḳhud ko bhī nahīñ pahchānā
dekhte dekhte pathrā ga.iiñ donoñ āñkheñ
phir bhī chehra na nazar aayā kahīñ
phir bhī dekhe nahīñ dast-o-bāzū
jaan kar ham ne har ik chiiz se inkār kiyā
zaat se
zaat ke gard ḳhudā.ī ke manāzir se
manāzir meñ chhupī sadiyoñ kī mazlūm tamannāoñ se
phoḌ do dekhne vaalī āñkheñ
ham tamāshā.ī nahīñ khel ke kirdār bhī haiñ
apne kirdār ke zindāñ meñ giraftār bhī haiñ
ham se zindānī hazāroñ lākhoñ
aao sab ke liye duniyā dekheñ
aao is koh ko tasḳhīr kareñ
jis ke pare
sub.h kā rañg hai
aur rañg kī tanvīreñ haiñ
aao tanvīroñ ko āñkhoñ se nahīñ saare badan se dekheñ
kya faqat dekhte rahne se masail ki girah khulti hai
kya faqat aankh ki putli mein hai mahfuz KHudai sari
hum ki insan nahin aankhen hain
hum ne aankhon ko KHuda samjha KHudai jaana
aaina dekha to in aankhon ne KHud ko bhi nahin pahchana
dekhte dekhte pathra gain donon aankhen
phir bhi chehra na nazar aaya kahin
phir bhi dekhe nahin dast-o-bazu
jaan kar hum ne har ek chiz se inkar kiya
zat se
zat ke gard KHudai ke manazir se
manazir mein chhupi sadiyon ki mazlum tamannaon se
phoD do dekhne wali aankhen
hum tamashai nahin khel ke kirdar bhi hain
apne kirdar ke zindan mein giraftar bhi hain
hum se zindani hazaron lakhon
aao sab ke liye duniya dekhen
aao is koh ko tasKHir karen
jis ke pare
subh ka rang hai
aur rang ki tanwiren hain
aao tanwiron ko aankhon se nahin sare badan se dekhen
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 766)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.