hum kya mangte hain
na duniyā kā ham māl-o-zar māñgte haiñ
kisī se na alqāb-e-sir māñgte haiñ
na pokhrāj la.al-o-gohar māñgte haiñ
sharāfat kā jiinā magar māñgte haiñ
hameñ jazba-e-hubb-e-qaumī atā kar
yahī haq se shām-o-sahar māñgte haiñ
milā de jo sīnoñ meñ dil zālimoñ ke
vo aahoñ meñ apnī asar māñgte haiñ
bigaḌne kī to baat hī kuchh nahīñ hai
huzūr ham to apnā hī ghar māñgte haiñ
batā qaum-e-ġhāfil ye kyā mājrā hai
tire bachche kyoñ dar-ba-dar māñgte haiñ
'alī' jaan lo vo haiñ dushman vatan ke
jo un se karam kī nazar māñgte haiñ
na duniya ka hum mal-o-zar mangte hain
kisi se na alqab-e-sir mangte hain
na pokhraj lal-o-gohar mangte hain
sharafat ka jina magar mangte hain
hamein jazba-e-hubb-e-qaumi ata kar
yahi haq se sham-o-sahar mangte hain
mila de jo sinon mein dil zalimon ke
wo aahon mein apni asar mangte hain
bigaDne ki to baat hi kuchh nahin hai
huzur hum to apna hi ghar mangte hain
bata qaum-e-ghafil ye kya majra hai
tere bachche kyon dar-ba-dar mangte hain
'ali' jaan lo wo hain dushman watan ke
jo un se karam ki nazar mangte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.