ḳhāksārān-e-dar-e-pīr-e-muġhāñ haiñ ham log
ya.anī minjumla-e-sāhib-nazarāñ haiñ ham log
ham ko manzūr nahīñ dair-o-haram kī tafrīq
ḳhātir-e-shaiḳh-o-barahman pe girāñ haiñ ham log
ham se hai sīna-e-getī meñ mohabbat kā faroġh
ye jahāñ jism agar hai dil-o-jāñ haiñ log
zauq-e-irfāñ se javānī meñ haiñ sanjīda-ḳhayāl
nudrat-e-fikr se piirī meñ javāñ haiñ ham log
ham se haiñ larza-bar-andāz ḳhudāyān-e-jahāñ
ik na.ī sub.h-e-tamannā kī azaañ haiñ ham log
be-nishāñ sīna-figāroñ kā nishāñ hai ham se
be-zabāñ ḳhāk-nashīnoñ kī zabāñ haiñ ham log
kahīñ āshiq kahīñ dilbar kahīñ suufī kahīñ rind
aur kahīñ shā.ir-e-ejāz-bayāñ haiñ ham log
soz-e-ehsās hameñ naġhma-sarā rakhtā hai
sho.ala-ḳhū sho.ala-nafas sho.ala-ba-jāñ haiñ ham log
harf meñ kyoñ na hamāre ho surūr-e-mai-e-nāb
ḳhāksārān-e-dar-e-pīr-e-muġhāñ haiñ ham log
KHaksaran-e-dar-e-pir-e-mughan hain hum log
yani minjumla-e-sahib-nazaran hain hum log
hum ko manzur nahin dair-o-haram ki tafriq
KHatir-e-shaiKH-o-barahman pe giran hain hum log
hum se hai sina-e-geti mein mohabbat ka farogh
ye jahan jism agar hai dil-o-jaan hain log
zauq-e-irfan se jawani mein hain sanjida-KHayal
nudrat-e-fikr se piri mein jawan hain hum log
hum se hain larza-bar-andaz KHudayan-e-jahan
ek nai subh-e-tamanna ki azan hain hum log
be-nishan sina-figaron ka nishan hai hum se
be-zaban KHak-nashinon ki zaban hain hum log
kahin aashiq kahin dilbar kahin sufi kahin rind
aur kahin shair-e-ejaz-bayan hain hum log
soz-e-ehsas hamein naghma-sara rakhta hai
shoala-KHu shoala-nafas shoala-ba-jaan hain hum log
harf mein kyon na hamare ho surur-e-mai-e-nab
KHaksaran-e-dar-e-pir-e-mughan hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.