Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum napte rahte hain roz

Azra Abbas

hum napte rahte hain roz

Azra Abbas

MORE BYAzra Abbas

    maut ham se kitnī duur hai

    ek inchi-tape ḳharīd kar laa.e haiñ ham

    aur farzī fāsle se maut ko

    apne aap se nāpte haiñ

    din ko gōd-morning kahte hue

    sūraj raushnī se ham pūchhte haiñ

    aaj kyā hamārā number hai

    sūraj khilkhilātā hai hamārī buzdilī par

    hameñ us hañsī zahr lagtī hai

    lekin ham sharmā huzūrī meñ

    us ke saath daañt nikāl kar hañste haiñ

    phir ham us qabristān meñ jaate haiñ

    jahāñ ham ko dafn kiyā jā.egā

    aur dekhte haiñ

    kyā koī jagah baaqī hai

    qabristān to paTā huā miltā hai

    ham ḳhush hote haiñ

    mārne vaale hameñ nahīñ māreñge

    jab un ko ye patā hogā ki

    qabristān meñ ab jagah nahīñ rahī

    ham lahakte hue qabristān se bāhar aa ga.e

    magar rāste meñ

    ek golī hameñ Thumaktī huī nazar aa.ī

    ham saḌak par leTe hue

    soch rahe the

    apnī āḳhirī saañs ke darmiyān

    is ko mālūm nahīñ thā kyā

    qabristān meñ ab jagah nahīñ hai

    maut hum se kitni dur hai

    ek inchi-tape KHarid kar lae hain hum

    aur farzi fasle se maut ko

    apne aap se napte hain

    din ko good-morning kahte hue

    suraj ki raushni se hum puchhte hain

    aaj kya hamara number hai

    suraj khilkhilata hai hamari buzdili par

    hamein us ki hansi zahr lagti hai

    lekin hum sharma huzuri mein

    us ke sath dant nikal kar hanste hain

    phir hum us qabristan mein jate hain

    jahan hum ko dafn kiya jaega

    aur dekhte hain

    kya koi jagah baqi hai

    qabristan to paTa hua milta hai

    hum KHush hote hain

    marne wale hamein nahin marenge

    jab un ko ye pata hoga ki

    qabristan mein ab jagah nahin rahi

    hum lahakte hue qabristan se bahar aa gae

    magar raste mein

    ek goli hamein Thumakti hui nazar aai

    hum saDak par leTe hue

    soch rahe the

    apni aaKHiri sans ke darmiyan

    is ko malum nahin tha kya

    qabristan mein ab jagah nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now