humne girya kiya
ham ne girya kiyā
us jagah jis jagah jashn darkār thā
ham ne girya kiyā
us jagah
jis jagah eḌiyāñ ham ragaḌte
to zamzam ubalne ko tayyār thā
ham ne girya kiyā
sang-e-hasrat pe sar ko paTakte hue ek ehsās par
nā-tavāñ pyaas par
pyaas jo us ghaḌī mar ga.ī
us ne jab
mere sūkhe laboñ par
samundar kī vus'at liye
apne lab rakh diye
der tak apne sab zaḳhm ham
jism kī ḳhaak meñ saath bote rahe
yūñhī lipTe hue
jāgtī niiñd sote rahe
ek duuje kī āñkhoñ se rote rahe
ham ne girya kiyā
hum ne girya kiya
us jagah jis jagah jashn darkar tha
hum ne girya kiya
us jagah
jis jagah eDiyan hum ragaDte
to zamzam ubalne ko tayyar tha
hum ne girya kiya
sang-e-hasrat pe sar ko paTakte hue ek ehsas par
na-tawan pyas par
pyas jo us ghaDi mar gai
us ne jab
mere sukhe labon par
samundar ki wus'at liye
apne lab rakh diye
der tak apne sab zaKHm hum
jism ki KHak mein sath bote rahe
yunhi lipTe hue
jagti nind sote rahe
ek duje ki aankhon se rote rahe
hum ne girya kiya
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 140)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.