hum patthar nahin hain
jab vo apne gharoñ se nikle
un ke saroñ pe kafan bañdhā thā
diloñ meñ josh
āñkhoñ meñ be-ḳhaufī
qabīle kī buzurg-tarīn hastī ne pukārnā chāhā
apnī talvāreñ lete jaao
lekin un ke patthar hone kā Dar thā
jab vo apnī bastiyoñ se nikle
un ke sīnoñ meñ dabī huī aaheñ thiiñ
hoñToñ pe larzisheñ
haath duāoñ ke liye darāz
us ne pukārnā chāhā
apne razm-nāme lete jaao
lekin ḳhāmosh rahī
jab vo sarhadoñ pe pahuñche
un kī āñkhoñ meñ tasvīreñ thiiñ
diloñ meñ hasrateñ
qadmoñ meñ laġhzisheñ
us ne bahut chāhā ki unheñ na pukāre
apnī loriyāñ lete jaao
sabhoñ ne muḌ kar us kī taraf dekhā
aur kahā
ham patthar nahīñ haiñ
jab wo apne gharon se nikle
un ke saron pe kafan bandha tha
dilon mein josh
aankhon mein be-KHaufi
qabile ki buzurg-tarin hasti ne pukarna chaha
apni talwaren lete jao
lekin un ke patthar hone ka Dar tha
jab wo apni bastiyon se nikle
un ke sinon mein dabi hui aahen thin
honTon pe larzishen
hath duaon ke liye daraaz
us ne pukarna chaha
apne razm-name lete jao
lekin KHamosh rahi
jab wo sarhadon pe pahunche
un ki aankhon mein taswiren thin
dilon mein hasraten
qadmon mein laghzishen
us ne bahut chaha ki unhen na pukare
apni loriyan lete jao
sabhon ne muD kar us ki taraf dekha
aur kaha
hum patthar nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.