hum tanha hain
ham sab kitne tanhā haiñ
apne andar
apnā sab dukh-dard sameTe
apne chehroñ par
naqlī muskān sajā.e
tū bhī maiñ bhī
tanhā haiñ
aur āte-jāte lamhoñ ko
dekh rahe haiñ yuuñ jaise un se
apnā gahrā rishta hai
kitne pāgal haiñ
ham donoñ
maiñ bhī tū bhī
un āte-jāte lamhoñ ko
apnā samjhe baiThe haiñ
ye kab apne ho sakte haiñ
āñkheñ mūñde baḌhte jaanā
sajal suhāne sundar sapne
palkoñ palkoñ chunte jaanā
un kī apnī aadat hai
kaise mūrakh haiñ ham donoñ
zahr ġhamoñ kā piite haiñ
tū bhī maiñ bhī jiite haiñ
hum sab kitne tanha hain
apne andar
apna sab dukh-dard sameTe
apne chehron par
naqli muskan sajae
tu bhi main bhi
tanha hain
aur aate-jate lamhon ko
dekh rahe hain yun jaise un se
apna gahra rishta hai
kitne pagal hain
hum donon
main bhi tu bhi
un aate-jate lamhon ko
apna samjhe baiThe hain
ye kab apne ho sakte hain
aankhen munde baDhte jaana
sajal suhane sundar sapne
palkon palkon chunte jaana
un ki apni aadat hai
kaise murakh hain hum donon
zahr ghamon ka pite hain
tu bhi main bhi jite hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.