hum to ja chuke jaanan
ab ye kaisī uljhan hai
ab ye kaisā jhagḌā hai
baat thī mohabbat kī
aur tum mohabbat par
ek hī mohabbat par
kab yaqīn rakhte the
tum to har ghaḌī apnī
dil-barāna āñkhoñ meñ
ik na.ī rifāqat kā ḳhvāb le ke uThte the
aur apnī shāmoñ meñ
apne ḳhvāb-o-ḳhvāhish ke
be-libās jazboñ ko
shauq se sajāte the
aur aise aalam meñ
jism-o-jāñ ke mausam meñ
ek ham hī uljhan the
ham to jā chuke jānāñ
dil pe bevafā.ī ke
zaḳhm khā chuke jānāñ
ab ye kaisī uljhan hai
ab ye kaisā jhagḌā hai
ab ye kaisi uljhan hai
ab ye kaisa jhagDa hai
baat thi mohabbat ki
aur tum mohabbat par
ek hi mohabbat par
kab yaqin rakhte the
tum to har ghaDi apni
dil-barana aankhon mein
ek nai rifaqat ka KHwab le ke uThte the
aur apni shamon mein
apne KHwab-o-KHwahish ke
be-libas jazbon ko
shauq se sajate the
aur aise aalam mein
jism-o-jaan ke mausam mein
ek hum hi uljhan the
hum to ja chuke jaanan
dil pe bewafai ke
zaKHm kha chuke jaanan
ab ye kaisi uljhan hai
ab ye kaisa jhagDa hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 509)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.