tum ne kabhī dariyā kināre bargad dekhā hai
jis kī shāḳheñ musalsal dariyā kā chehra
sahlātī haiñ
aur
dariyā unheñ bhigotā hai
bhīgne se ḳhūb-sūratī baḌhtī hai
jis tarah rone se chehre kī
kyā tumheñ yaad hai
pichhle janam meñ
tum dariyā aur maiñ bargad thā
tum ne kabhi dariya kinare bargad dekha hai
jis ki shaKHen musalsal dariya ka chehra
sahlati hain
aur
dariya unhen bhigota hai
bhigne se KHub-surati baDhti hai
jis tarah rone se chehre ki
kya tumhein yaad hai
pichhle janam mein
tum dariya aur main bargad tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.