hamara pyara watan
hindostān pyārā pyārā vatan hamārā
ye jaan hai hamārī ye tan-badan hamārā
is kī zamīñ nirālī is kā falak nirālā
is des kā ho yā-rab duniyā meñ bol-bālā
manzar yahāñ huvaidā kul kā.enāt ke haiñ
dariyā yahāñ ke kyā haiñ chashme hayāt ke haiñ
sarsabz vādiyāñ haiñ shādāb haiñ bayābāñ
kyā ḳhuub haiñ yahāñ ke jangal pahāḌ maidāñ
pyārī haiñ mohnī haiñ din-rāt kī bahāreñ
dil ko lubhā rahī haiñ barsāt kī bahāreñ
duniyā meñ sab se ūñchā parbat himaliya hai
is se vatan hamārā duniyā se baḌh gayā hai
har chiiz hai nirālī har shai meñ bāñkpan hai
hindostān nahīñ hai jannat kā ye chaman hai
kaalī ghaTā.eñ is kī ḳhushiyāñ baḌhā rahī haiñ
ThanDī havā.eñ dil kī kaliyāñ khilā rahī haiñ
aao vatan kā beḌā koshish se paar kar deñ
phailā.eñ phir jahāñ meñ ham nek-nām is kā
duniyā kī ho nazar meñ ūñchā maqām is kā
hindostāñ kā rutba 'nayyar' bahut baḌā hai
zarra bhī is zamīñ kā ḳhurshīd se sivā hai
hindostan pyara pyara watan hamara
ye jaan hai hamari ye tan-badan hamara
is ki zamin nirali is ka falak nirala
is des ka ho ya-rab duniya mein bol-baala
manzar yahan huwaida kul kaenat ke hain
dariya yahan ke kya hain chashme hayat ke hain
sarsabz wadiyan hain shadab hain bayaban
kya KHub hain yahan ke jangal pahaD maidan
pyari hain mohni hain din-raat ki bahaaren
dil ko lubha rahi hain barsat ki bahaaren
duniya mein sab se uncha parbat himaliya hai
is se watan hamara duniya se baDh gaya hai
har chiz hai nirali har shai mein bankpan hai
hindostan nahin hai jannat ka ye chaman hai
kali ghaTaen is ki KHushiyan baDha rahi hain
ThanDi hawaen dil ki kaliyan khila rahi hain
aao watan ka beDa koshish se par kar den
phailaen phir jahan mein hum nek-nam is ka
duniya ki ho nazar mein uncha maqam is ka
hindostan ka rutba 'nayyar' bahut baDa hai
zarra bhi is zamin ka KHurshid se siwa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.