hamare des ki barsat
vo kaale kaale bādal har taraf ghir ghir ke chhāte haiñ
falak par ḳhushnumā ik shāmiyāna sā sajāte haiñ
garaj kar apnī aamad ke vo naqqāre bajāte haiñ
vo ban kar barq partav qudrat-e-haq kā dikhāte haiñ
vo kaisī un kī dilkash dilrubāyāna ravānī hai
hamāre des kī barsāt bhī kaisī suhānī hai
havāoñ kā vo chal-chal kar kalī dil kī khilā denā
vo ġhunchoñ kā masarrat se uchhal kar muskurā denā
vo pattoñ kā ḳhushī se jhuum kar taalī bajā denā
vo manzar ik nayā bārish kī aamad kā dikhā denā
vo bādal haiñ vo bijlī hai vo sabza hai vo paanī hai
hamāre des kī barsāt bhī kaisī suhānī hai
vo nannhī-nannhī būñdoñ kā vo halkī phuvār kā aanā
vo garmī kī tapish meñ sardiyoñ kā lutf dikhlānā
vo koyal kā chaman meñ kūknā qumrī kā itrānā
vo moroñ kā thiraknā aur papīhoñ kā vo pī gaanā
ġharaz har-har taraf aish-o-tarab hai shādmānī hai
hamāre des kī barsāt bhī kaisī suhānī hai
vo gulzāroñ meñ jhūle vo suhāne dil-fazā gaane
ḳhushī ke chahchahe vo qahqahe sakhiyoñ ke mastāne
vo pakvānoñ kī lazzat vo maze ke chaTpaTe khāne
vo yāroñ dostoñ kī shoḳhiyāñ ulfat ke afsāne
vo chuhleñ yaad bhī jin kī surūr-e-zindagānī hai
hamāre des kī barsāt bhī kaisī suhānī hai
vo dariyāoñ ke tūfān aur vo shorish ābshāroñ kī
suhāne giit chashmoñ ke vo ḳhushbū sabza-zāroñ kī
harī maḳhmal kī pyārī vardiyāñ vo kohsāroñ kī
ye manzar dekh kar vo chashmakeñ phir chāñd tāroñ kī
muqābil jin ke aakar kahkashāñ ne haar maanī hai
hamāre des kī barsāt bhī kaisī suhānī hai
ḳhudā vo din kare aise bhī din is des ke aa.eñ
vatan ke rahne vaale ek dil aapas meñ ho jaa.eñ
mohabbat kā vo ban kar abr saare des par chhā.eñ
mohabbat hī ke motī ban ke har jānib baras jaa.eñ
kaheñ phir mil ke ham allāh kī ye mehrbānī hai
hamāre des kī barsāt bhī kaisī suhānī hai
mazā ho mehr aur ulfat kā bādal har taraf chhā.e
mazā jab ho mohabbat hī kā naġhma kaan meñ aa.e
fasādoñ aur jhagḌoñ kā ye dukh har qalb se jaa.e
mazā jab ho ki har chhoTā-baḌā ye sher dohrā.e
bas apnā kaam ab 'nayyar' vatan kī pāsbānī hai
hamāre des kī barsāt bhī kaisī suhānī hai
wo kale kale baadal har taraf ghir ghir ke chhate hain
falak par KHushnuma ek shamiyana sa sajate hain
garaj kar apni aamad ke wo naqqare bajate hain
wo ban kar barq partaw qudrat-e-haq ka dikhate hain
wo kaisi un ki dilkash dilrubayana rawani hai
hamare des ki barsat bhi kaisi suhani hai
hawaon ka wo chal-chal kar kali dil ki khila dena
wo ghunchon ka masarrat se uchhal kar muskura dena
wo patton ka KHushi se jhum kar tali baja dena
wo manzar ek naya barish ki aamad ka dikha dena
wo baadal hain wo bijli hai wo sabza hai wo pani hai
hamare des ki barsat bhi kaisi suhani hai
wo nannhi-nannhi bundon ka wo halki phuwar ka aana
wo garmi ki tapish mein sardiyon ka lutf dikhlana
wo koyal ka chaman mein kukna qumri ka itrana
wo moron ka thirakna aur papihon ka wo pi gana
gharaz har-har taraf aish-o-tarab hai shadmani hai
hamare des ki barsat bhi kaisi suhani hai
wo gulzaron mein jhule wo suhane dil-faza gane
KHushi ke chahchahe wo qahqahe sakhiyon ke mastane
wo pakwanon ki lazzat wo maze ke chaTpaTe khane
wo yaron doston ki shoKHiyan ulfat ke afsane
wo chuhlen yaad bhi jin ki surur-e-zindagani hai
hamare des ki barsat bhi kaisi suhani hai
wo dariyaon ke tufan aur wo shorish aabshaaron ki
suhane git chashmon ke wo KHushbu sabza-zaron ki
hari maKHmal ki pyari wardiyan wo kohsaron ki
ye manzar dekh kar wo chashmaken phir chand taron ki
muqabil jin ke aakar kahkashan ne haar mani hai
hamare des ki barsat bhi kaisi suhani hai
KHuda wo din kare aise bhi din is des ke aaen
watan ke rahne wale ek dil aapas mein ho jaen
mohabbat ka wo ban kar abr sare des par chhaen
mohabbat hi ke moti ban ke har jaanib baras jaen
kahen phir mil ke hum allah ki ye mehrbani hai
hamare des ki barsat bhi kaisi suhani hai
maza ho mehr aur ulfat ka baadal har taraf chhae
maza jab ho mohabbat hi ka naghma kan mein aae
fasadon aur jhagDon ka ye dukh har qalb se jae
maza jab ho ki har chhoTa-baDa ye sher dohrae
bas apna kaam ab 'nayyar' watan ki pasbani hai
hamare des ki barsat bhi kaisi suhani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.