hamare din guzar gae
gharoñ meñ koī peḌ hai na motiye kī bail hai
na daal ko baghārtī huī javān laḌkiyāñ
ki sab chalan badal gayā
farāġhatoñ ke din ga.e
ga.iiñ vo kunj-e-vaqt kī safed riish sā.ateñ
shajar kī rāhdāriyāñ ujaḌ ga.iiñ
ghanī dopahar meñ khulī khulī sī dhuup kā safar bhī ruk gayā
galī ke surḳh moḌ par
kanār-e-shām nuqra.ī libās meñ jamāltī huī sharīr apsarā nahīñ rahī
vo riish meñ guñdhe hue
badan kā ḳham zamīn par utārte hue za.iif lāThiyoñ pe Dolte
ḳhamīda sar nahīñ rahe
vo tyroñ se kheltā ġhubār uḌātā bachpanā
vo sāñvle hijāb meñ safed muskurāhaTeñ
hayā kī sabz katraneñ ki jin pe surḳh motiyoñ kā nīlgūñ lihāf thā
na-jāne kaun samt haiñ
jale bujhe se diip haiñ nazar kī rahguzār meñ
zarā zarā sī raushnī ki jis meñ ḳhaam ujlateñ
badan ke daaġh sīñchtīñ
jhuke jhuke mizāj par tanī tanī sī uljhaneñ
dalīl se varā hai saarī guftugū kā sāneha
zarā zarā sī zindagī baḌā baḌā sā ḳhauf hai
laboñ ke surḳh baam par malāl-e-raftagāñ nahīñ
firāsatoñ kā qaht hai
malāmatoñ kā ahd hai
hameñ fareb-e-zindagī zarā sā kaam kyā paḌā
hamāre din guzar ga.e
gharon mein koi peD hai na motiye ki bail hai
na dal ko baghaarti hui jawan laDkiyan
ki sab chalan badal gaya
faraghaton ke din gae
gain wo kunj-e-waqt ki safed rish saaten
shajar ki rahdariyan ujaD gain
ghani dopahar mein khuli khuli si dhup ka safar bhi ruk gaya
gali ke surKH moD par
kanar-e-sham nuqrai libas mein jamalti hui sharir apsara nahin rahi
wo rish mein gundhe hue
badan ka KHam zamin par utarte hue zaif laThiyon pe Dolte
KHamida sar nahin rahe
wo tyron se khelta ghubar uData bachpana
wo sanwle hijab mein safed muskurahaTen
haya ki sabz katranen ki jin pe surKH motiyon ka nilgun lihaf tha
na-jaane kaun samt hain
jale bujhe se dip hain nazar ki rahguzar mein
zara zara si raushni ki jis mein KHam ujlaten
badan ke dagh sinchtin
jhuke jhuke mizaj par tani tani si uljhanen
dalil se wara hai sari guftugu ka saneha
zara zara si zindagi baDa baDa sa KHauf hai
labon ke surKH baam par malal-e-raftagan nahin
firasaton ka qaht hai
malamaton ka ahd hai
hamein fareb-e-zindagi zara sa kaam kya paDa
hamare din guzar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.