hamare KHwab raushan hain
añdheroñ ke ghane sāyoñ kā ham ko ḳhauf kyā hogā
ridā-e-zulmat-e-nādīda ham ko kyā Darā.egī
añdherī vādiyāñ mil kar kahāñ tak muñh chaḌhā.eñgī
siyah-baḳhtī muqaddar hai hameñ kyā din dikhā.egī
hamāre sar pe kitne azm ke mahtāb raushan haiñ
hamārī āñkheñ zinda haiñ hamāre ḳhvāb raushan haiñ
ham apnī nāqidāna kāvishoñ ko jagmagā.eñge
ham apnī nasr meñ alfāz kā jaadū jagā.eñge
ġhazal ke ruup meñ ehsās kī sham.eñ jalā.eñge
talāsh-e-raushnī meñ ab bhaTakne kī zarūrat kyā
ham apne andarūñ se ik nayā sūraj ugā.eñge
tavānā.ī qalam meñ hai lahū meñ aag raushan hai
hamārā dard zinda hai hamāre ḳhvāb raushan haiñ
andheron ke ghane sayon ka hum ko KHauf kya hoga
rida-e-zulmat-e-nadida hum ko kya Daraegi
andheri wadiyan mil kar kahan tak munh chaDhaengi
siyah-baKHti muqaddar hai hamein kya din dikhaegi
hamare sar pe kitne azm ke mahtab raushan hain
hamari aankhen zinda hain hamare KHwab raushan hain
hum apni naqidana kawishon ko jagmagaenge
hum apni nasr mein alfaz ka jadu jagaenge
ghazal ke rup mein ehsas ki shamen jalaenge
talash-e-raushni mein ab bhaTakne ki zarurat kya
hum apne andarun se ek naya suraj ugaenge
tawanai qalam mein hai lahu mein aag raushan hai
hamara dard zinda hai hamare KHwab raushan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.