hamare liye to yahi hai!
hamāre liye to yahī hai ki
tumhārā julūs jab shāhrāh se guzre
to tum apnī uñgliyoñ kī titliyāñ hamārī jānib uḌaao
apnī uñgliyoñ ko hoñToñ se chhūte hue
hamārī jānib ek bose kī sūrat uchhālo
jise sameTne ke liye ham ek saath lapkeñ
hamāre liye to yahī hai ki
tumhārā libās ham par mehrbān ho jaa.e
tum apnī bagghī se utarte hue
apne pā.eñche uñgliyoñ se sameT lo
aur tumhārā saindil
tumhāre Taḳhne kī pahre-dārī se ġhāfil ho jaa.e
yā havā tumhāre bāloñ ko lahrā de
aur tum unheñ sameTne kī koshish meñ
apnā nisf baazū barhana kar Daalo
yā āsmān par koī parinda dekhte hue
tumhāre hoñToñ par aane vaalī muskurāhaT
hamārī āñkhoñ se ittifāqī mulāqāt kar le
hamare liye to yahi hai ki
tumhaara julus jab shahrah se guzre
to tum apni ungliyon ki titliyan hamari jaanib uDao
apni ungliyon ko honTon se chhute hue
hamari jaanib ek bose ki surat uchhaalo
jise sameTne ke liye hum ek sath lapken
hamare liye to yahi hai ki
tumhaara libas hum par mehrban ho jae
tum apni bagghi se utarte hue
apne paenche ungliyon se sameT lo
aur tumhaara saindil
tumhaare TaKHne ki pahre-dari se ghafil ho jae
ya hawa tumhaare baalon ko lahra de
aur tum unhen sameTne ki koshish mein
apna nisf bazu barhana kar Dalo
ya aasman par koi parinda dekhte hue
tumhaare honTon par aane wali muskurahaT
hamari aankhon se ittifaqi mulaqat kar le
- Book : mamnu.u mausamon ki kitab (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.