hamare sans jhuTe hain
madār-e-vaqt se ik jur.a-e-nāyāb lete haiñ
yūñhī jiite chale jaate haiñ bas lamhoñ kī dhaḌkan meñ
ḳhizāñ kā giit sunte haiñ
bahār-e-zindagānī meñ
ḳhumār-e-rā.egānī meñ
hamāre paañv raste māpte haiñ shahr-o-sahrā ke
magar manzil nahīñ miltī
safar to jaarī rahtā hai
phir āḳhir ek din jab vaqt bāgeñ khīñch letā hai
to khultā hai
isī bahte hue dariyā meñ apne ḳhvāb kā sonā bikharnā hai
hamāre jism kā saudā isī miTTī se honā hai
fanā kā zā.iqa chakhte hue
is qulzum-e-hastī meñ ham ko Duub jaanā hai
jise jīvan samajhte the sarāsar ek dhokā hai
yahī lamha bhabhūkā hai
madar-e-waqt se ek jura-e-nayab lete hain
yunhi jite chale jate hain bas lamhon ki dhaDkan mein
KHizan ka git sunte hain
bahaar-e-zindagani mein
KHumar-e-raegani mein
hamare panw raste mapte hain shahr-o-sahra ke
magar manzil nahin milti
safar to jari rahta hai
phir aaKHir ek din jab waqt bagen khinch leta hai
to khulta hai
isi bahte hue dariya mein apne KHwab ka sona bikharna hai
hamare jism ka sauda isi miTTi se hona hai
fana ka zaiqa chakhte hue
is qulzum-e-hasti mein hum ko Dub jaana hai
jise jiwan samajhte the sarasar ek dhoka hai
yahi lamha bhabhuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.