hamare shajre bikhar gae hain
gumāñ kī be-rañg sā.atoñ meñ
navāh-e-karb-o-balā se darbār-e-shām tak ham
lahū kī ik ek buuñd kā sab ḳhirāj de kar
tamām qarze chukāte aa.e
shikasta dahlīz
lahū kī mehrāb
sināñ kā mimbar
hamārī izzat baḌhāte aa.e
vo ham hī the jo qayām karte
rukūa meñ jhukte
zakāt de kar
ḳhud apne hisse kā ta.aam de kar
darūd o salāt paḌhte aa.e
vo ham the jo gharoñ se nikle
to phir abad tak
palaT ke ghar kī taraf na dekhā
sitāra-e-saharī gavāh hai
ki ham ne insāñ ko
chhāñv dete
ghanere peḌoñ pe ḳhuun chhiḌkā
jhulaste sahrā ko tāzgī dī
dahaktī dhartī ko zindagī dī
magar vo taskīñ kā pul kahāñ hai
bhañvar bhañvar hai zamāna saarā
vajūd apne kidhar ga.e haiñ
hamāre shajre bikhar ga.e haiñ
guman ki be-rang saaton mein
nawah-e-karb-o-bala se darbar-e-sham tak hum
lahu ki ek ek bund ka sab KHiraj de kar
tamam qarze chukate aae
shikasta dahliz
lahu ki mehrab
sinan ka mimbar
hamari izzat baDhate aae
wo hum hi the jo qayam karte
rukua mein jhukte
zakat de kar
KHud apne hisse ka taam de kar
darud o salat paDhte aae
wo hum the jo gharon se nikle
to phir abad tak
palaT ke ghar ki taraf na dekha
sitara-e-sahari gawah hai
ki hum ne insan ko
chhanw dete
ghanere peDon pe KHun chhiDka
jhulaste sahra ko tazgi di
dahakti dharti ko zindagi di
magar wo taskin ka pul kahan hai
bhanwar bhanwar hai zamana sara
wajud apne kidhar gae hain
hamare shajre bikhar gae hain
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 308)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.