hamari basti
ham jis bastī meñ rahte haiñ
us ke bāshinde achchhe haiñ
hindū muslim sikh īsā.ī
sab is bastī ke ābā.ī
sab mil-jul kar kaam kare haiñ
mehnat kar ārām kare haiñ
jab teyohāroñ par haiñ milte
apne-pan ke phuul haiñ khilte
nafrat kā kuchh naam nahīñ hai
laḌnā kisī kā kaam nahīñ hai
bhā.ī-chāre meñ hai bhalā.ī
sab haiñ yahāñ par bhaa.ī bhaa.ī
hum jis basti mein rahte hain
us ke bashinde achchhe hain
hindu muslim sikh isai
sab is basti ke aabai
sab mil-jul kar kaam kare hain
mehnat kar aaram kare hain
jab teyohaaron par hain milte
apne-pan ke phul hain khilte
nafrat ka kuchh nam nahin hai
laDna kisi ka kaam nahin hai
bhai-chaare mein hai bhalai
sab hain yahan par bhai bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.