hamari billi ke bachche
suno ek chhoTī kahānī suno
kahānī ye merī zabānī suno
jo kal apnī billī ne bachche diye
vo gintī meñ pūchho to bas pāñch the
baḌī der tak ham ye sochā kiye
ki naam in kā kyā kyā rakhā chāhiye
machāyā to pahle baḌā shor-o-shar
hue phir razā-mand is baat par
kareñ aao ham in kī gintī se jāñch
kaheñ ek do tiin chaar aur pāñch
vo hai ek number jo sab se safed
faqat rang se paa.eñ ham us kā bhed
jo hai sab se lambā vo hai dūsrā
chamakdār sab se jo hai tīsrā
jo hai sab se chhoTā kaheñ us ko chaar
kareñ pāñchvāñ āḳhirī ham shumār
mile shakl do tiin se pāñch kī
gulābī sī naak un kī hai ek sī
siyah daaġh bhī piiTh par ek se
sabhī ek jaisī haiñ moñchheñ liye
ye khā khā ke sote raheñ baar baar
hamesha ye nīñdoñ kī lūTeñ bahār
ye chhoTā sā kumba sadā ḳhush rahe
koī jā ke in ko kabhī dekh le
chatā.ī pe pān.cho ye leTe raheñ
sabhī god se maañ kī chimTe raheñ
suno ek chhoTi kahani suno
kahani ye meri zabani suno
jo kal apni billi ne bachche diye
wo ginti mein puchho to bas panch the
baDi der tak hum ye socha kiye
ki nam in ka kya kya rakha chahiye
machaya to pahle baDa shor-o-shar
hue phir raza-mand is baat par
karen aao hum in ki ginti se jaanch
kahen ek do tin chaar aur panch
wo hai ek number jo sab se safed
faqat rang se paen hum us ka bhed
jo hai sab se lamba wo hai dusra
chamakdar sab se jo hai tisra
jo hai sab se chhoTa kahen us ko chaar
karen panchwan aaKHiri hum shumar
mile shakl do tin se panch ki
gulabi si nak un ki hai ek si
siyah dagh bhi piTh par ek se
sabhi ek jaisi hain monchhen liye
ye kha kha ke sote rahen bar bar
hamesha ye nindon ki luTen bahaar
ye chhoTa sa kumba sada KHush rahe
koi ja ke in ko kabhi dekh le
chatai pe pancho ye leTe rahen
sabhi god se man ki chimTe rahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.