hamal-sara
Interesting Fact
Inspired from the famous Shah Bano case.
dādī-ammāñ...
(bastī ke sab se mumtāz
gharāne kī beTii...
sab se muazzaz
āñgan kī dulhan
māshā-allāh
sattar ke piiTe meñ hoñgī)
apnaa... istehqāq māñgtī haiñ
daadā jaan ki
das kam saaTh baras tak un se
andhī ghup kaalī rātoñ meñ
chhup chhup ke milne aa.e
biivī kī zarḳhez āñkhoñ meñ
sirf aulād-e-narīna ke
ḳhvāb ugā ke chale ga.e...
ye shauhar ke raste meñ
haa.el na huiiñ
dil ke TukḌe
hosteloñ meñ pale-baḌhe
haif ki un ke dukh-sukh meñ
shāmil na huiiñ
dādā-jān kī saḳht tabī.at ne
is kā mauqa.a hī na diyā
ye vo nātiq
jo ḳhāmosh rahīñ...
is nā-zebā ḳhāmoshī meñ
aag lagāne ke din aa.e
ab apne chaqmāq māñgtī haiñ...
un ke andar tanhā.ī kā zahr utartā chalā gayā
(aur zamāna
ird-gard se
parchhā.īñ kī tarah guzartā chalā gayā)
sog meñ haiñ,
tiryāq māñgtī haiñ....
ek janam tak
andhī gūñgī bahrī ban ke
apne hī ghar meñ be-daḳhl,
be-qadrī ke saḳhī-hasan meñ dafn rahīñ
aaj na.e āfāq māñgtī haiñ
daadī amaañ talāq māñgtī haiñ
dadi-amman
(basti ke sab se mumtaz
gharane ki beTi
sab se muazzaz
aangan ki dulhan
masha-allah
sattar ke piTe mein hongi)
apna istehqaq mangti hain
dada jaan ki
das kam saTh baras tak un se
andhi ghup kali raaton mein
chhup chhup ke milne aae
biwi ki zarKHez aankhon mein
sirf aulad-e-narina ke
KHwab uga ke chale gae
ye shauhar ke raste mein
hael na huin
dil ke TukDe
hostelon mein pale-baDhe
haif ki un ke dukh-sukh mein
shamil na huin
dada-jaan ki saKHt tabiat ne
is ka mauqa hi na diya
ye wo natiq
jo KHamosh rahin
is na-zeba KHamoshi mein
aag lagane ke din aae
ab apne chaqmaq mangti hain
un ke andar tanhai ka zahr utarta chala gaya
(aur zamana
ird-gard se
parchhain ki tarah guzarta chala gaya)
sog mein hain,
tiryaq mangti hain
ek janam tak
andhi gungi bahri ban ke
apne hi ghar mein be-daKHl,
be-qadri ke saKHi-hasan mein dafn rahin
aaj nae aafaq mangti hain
dadi aman talaq mangti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.