hamdam
zindagī bojh sahī bojh kā ehsās na kar
manzileñ duur sahī us kā taraddud be-kār
jab qadam azm se uTheñge to rasta tai hai
aur phir raah meñ kāñToñ ke sivā
narmī-e-gul bhī to maujūd hai sabza bhī hai
chalte chalte yūñhī aadat bhī huī jaatī hai
thak ga.e hoñ to yahāñ chhāñv bhī saaya bhī hai
garmī-e-mahr satātī hai magar yuuñ bhī to hai
raushnī tezī-e-raftār pe uksātī hai
raat tārīk hai sunsān hai Dar lagtā hai
raat kā ruup faqat ye to nahīñ hai hamdam
raat mahtāb kī khetī hai sitāroñ kā chaman
raat ke shahar meñ ḳhvāboñ kī fusūñ-kārī hai
ḳhvāb jo koshish-e-paiham ko jagā dete haiñ
aur phir raat guzar jaatī hai
sub.h-e-ḳhurshīd kā chhalkā huā paimāna hai
rañg aur kaif kī sarshār mizājī kī qasam
manzileñ sahal huī jaatī haiñ
us taraf dekh makānoñ kī jabīnoñ se dhuāñ uThtā hai
aur raushan hai bisāt
aur makīnoñ ke tabassum se fazā.eñ māmūr
ek lamhe ke liye
ruk ke ḳhushiyoñ ko ikaTThā kar leñ
zād-e-rah in ko banā leñ apnā
partav-e-zīst se zulmat meñ ujālā kar leñ
ġham nahīñ qāfile vāloñ se bichhaḌ jaane kā
ham na.ī raah na.e naqsh-e-qadam chhoḌeñge
kārvāñ aur bhī guzreñge hamāre pīchhe
shaam se pahle bahut duur pahuñchnā hai hameñ
zindagi bojh sahi bojh ka ehsas na kar
manzilen dur sahi us ka taraddud be-kar
jab qadam azm se uThenge to rasta tai hai
aur phir rah mein kanTon ke siwa
narmi-e-gul bhi to maujud hai sabza bhi hai
chalte chalte yunhi aadat bhi hui jati hai
thak gae hon to yahan chhanw bhi saya bhi hai
garmi-e-mahr satati hai magar yun bhi to hai
raushni tezi-e-raftar pe uksati hai
raat tarik hai sunsan hai Dar lagta hai
raat ka rup faqat ye to nahin hai hamdam
raat mahtab ki kheti hai sitaron ka chaman
raat ke shahar mein KHwabon ki fusun-kari hai
KHwab jo koshish-e-paiham ko jaga dete hain
aur phir raat guzar jati hai
subh-e-KHurshid ka chhalka hua paimana hai
rang aur kaif ki sarshaar mizaji ki qasam
manzilen sahal hui jati hain
us taraf dekh makanon ki jabinon se dhuan uThta hai
aur raushan hai bisat
aur makinon ke tabassum se fazaen mamur
ek lamhe ke liye
ruk ke KHushiyon ko ikaTTha kar len
zad-e-rah in ko bana len apna
partaw-e-zist se zulmat mein ujala kar len
gham nahin qafile walon se bichhaD jaane ka
hum nai rah nae naqsh-e-qadam chhoDenge
karwan aur bhi guzrenge hamare pichhe
sham se pahle bahut dur pahunchna hai hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.