hamein mujrim nahin kahna
vahī haiñ fāsle aur qāfile phir bhī ravāñ haiñ
vahī haiñ silsile aur dā.ere bhī be-karāñ haiñ
ye ham jo ek bosīda imārat ke khañDar se phuul chunñe jā rahe the
hamārā ḳhvāb thā
ham dahr ko ḳhushbū se bharnā chāhte the
magar ham haDDiyoñ kī raakh le kar aa ga.e haiñ
ye ham ḳhvāboñ ke dariyāoñ se ik jharnā
bas ik chhoTā sā jharnā chāhte the
jo hamāre dasht kī be-āb miTTī ko zarā nam-āshnā kar de
magar jaane kahāñ se ham chitā kī aag le aa.e
hamāre dil kā ye jvālā-mukhī phaTne ko aaya hai
kabhī bhī ham ne lambe fāsloñ se surḳhiyāñ dekhīñ
to ham us samt ko lapke
magar rastoñ ke pech-o-ḳham meñ hī itnā samay biitā
ki ham zardī ko chehroñ par lapeTe lauT aa.e
vahī haiñ silsile aur fāsle aur us pe apne dil meñ chalne kī tamanna bhī
magar umr-e-muayyan kī bachī pūñjī to bas chand ek lamhe hai
ye sach hai ham kabhī bhī ishq ke me.aar par puure nahīñ utre
magar aisā nahīñ karnā
hameñ mujrim nahīñ kahnā
ki ham girah-e-masā.ib paar karne se kabhī munkir nahīñ Thahre
ḳhudāyā ham ko ab terī gavāhī kī zarūrat hai
hameñ phir se tabāhī kī zarūrat hai
wahi hain fasle aur qafile phir bhi rawan hain
wahi hain silsile aur daere bhi be-karan hain
ye hum jo ek bosida imarat ke khanDar se phul chunne ja rahe the
hamara KHwab tha
hum dahr ko KHushbu se bharna chahte the
magar hum haDDiyon ki rakh le kar aa gae hain
ye hum KHwabon ke dariyaon se ek jharna
bas ek chhoTa sa jharna chahte the
jo hamare dasht ki be-ab miTTi ko zara nam-ashna kar de
magar jaane kahan se hum chita ki aag le aae
hamare dil ka ye jwala-mukhi phaTne ko aaya hai
kabhi bhi hum ne lambe faslon se surKHiyan dekhin
to hum us samt ko lapke
magar raston ke pech-o-KHam mein hi itna samay bita
ki hum zardi ko chehron par lapeTe lauT aae
wahi hain silsile aur fasle aur us pe apne dil mein chalne ki tamanna bhi
magar umr-e-muayyan ki bachi punji to bas chand ek lamhe hai
ye sach hai hum kabhi bhi ishq ke mear par pure nahin utre
magar aisa nahin karna
hamein mujrim nahin kahna
ki hum girah-e-masaib par karne se kabhi munkir nahin Thahre
KHudaya hum ko ab teri gawahi ki zarurat hai
hamein phir se tabahi ki zarurat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.