hamein wo kyun yaad aa rahe hain
duniyā kis kī uñgliyoñ par gardish kar rahī hai
ham nahīñ jānte
ham bas ye jānte haiñ
hamārā vaqt tumhārī uñgliyoñ kī jumbish kā pāband hai
ham ne jab giroh banā.e
surḳh
niilā
piilā
sabz
nāranjī
kāsnī
safed
hameñ tum ne in meñ se kisī giroh meñ nahīñ rakhā
dar-asl tum ne hameñ jaanā hī nahīñ
ham tumhārī zamīn se bāhar the
ek gahrī siyāhī meñ
apnī siyāhī meñ
ham is koshish meñ rahe
ki tumhārī ghūmtī huī zamīn kī kashish meñ dāḳhil ho jaa.eñ
jab ham aisā karne meñ kāmyāb ho ga.e
tab hameñ pata chalā
ki ye sab tumhārī uñgliyoñ kī jumbish kā kamāl hai
aur aaj jab ham
na chāhte hue bhī
tumhāre safed markaz kī samt baḌhe chale jā rahe haiñ
to hameñ apnī siyāhī
aur is meñ rah jaane vaale log
burī tarah yaad kyuuñ aa rahe haiñ!
duniya kis ki ungliyon par gardish kar rahi hai
hum nahin jaante
hum bas ye jaante hain
hamara waqt tumhaari ungliyon ki jumbish ka paband hai
hum ne jab giroh banae
surKH
nila
pila
sabz
naranji
kasni
safed
hamein tum ne in mein se kisi giroh mein nahin rakha
dar-asl tum ne hamein jaana hi nahin
hum tumhaari zamin se bahar the
ek gahri siyahi mein
apni siyahi mein
hum is koshish mein rahe
ki tumhaari ghumti hui zamin ki kashish mein daKHil ho jaen
jab hum aisa karne mein kaamyab ho gae
tab hamein pata chala
ki ye sab tumhaari ungliyon ki jumbish ka kamal hai
aur aaj jab hum
na chahte hue bhi
tumhaare safed markaz ki samt baDhe chale ja rahe hain
to hamein apni siyahi
aur is mein rah jaane wale log
buri tarah yaad kyun aa rahe hain!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 547)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.