hans rahi hai chandni
fazā.eñ tilmilā uThīñ jo maiñ ne gungunā diyā
hayāt rasmasā ga.ī jo maiñ ne muskurā diyā
fanā baqā ke darmiyāñ
khīñchī huī hai jo lakīr
hayāt-o-maut ke sire pe nāchte rahe haiñ ham
idhar to ishq hai udaas
udhar hai husn muzmahil
idhar piyāla tishna-kām
udhar shabāb be-qarār
na haath maiñ baḌhā sakā na tum uThā sake qadam
fazā.eñ tilmilā uThīñ
nadī kī mauj mauj meñ charāġh se lapak uThe
fanā baqā ke darmiyāñ
sitāroñ kī saheliyāñ
siñdūr le ke thaal meñ
sañvārne ko aa ga.iiñ
urūs-e-mah ke pech-o-ḳham
na haath maiñ baḌhā sakā na tum baḌhā sake qadam
sañvar chukā hai husn bhī
bikhar rahī hai ġhunchagī
khaḌe hue haiñ kārvāñ
fanā baqā ke darmiyāñ
khīñchī huī lakīr mil ke aao ham miTā na deñ
hadeñ jo mustaqil sī haiñ vo raah se haTā na deñ
banā.eñ ik hayāt-e-nau nashāt-o-be-ḳhudī meñ ham
phaTe phaTe se bādaloñ meñ
hañs rahī hai chāñdnī
fazaen tilmila uThin jo main ne gunguna diya
hayat rasmasa gai jo main ne muskura diya
fana baqa ke darmiyan
khinchi hui hai jo lakir
hayat-o-maut ke sire pe nachte rahe hain hum
idhar to ishq hai udas
udhar hai husn muzmahil
idhar piyala tishna-kaam
udhar shabab be-qarar
na hath main baDha saka na tum uTha sake qadam
fazaen tilmila uThin
nadi ki mauj mauj mein charagh se lapak uThe
fana baqa ke darmiyan
sitaron ki saheliyan
sindur le ke thaal mein
sanwarne ko aa gain
urus-e-mah ke pech-o-KHam
na hath main baDha saka na tum baDha sake qadam
sanwar chuka hai husn bhi
bikhar rahi hai ghunchagi
khaDe hue hain karwan
fana baqa ke darmiyan
khinchi hui lakir mil ke aao hum miTa na den
haden jo mustaqil si hain wo rah se haTa na den
banaen ek hayat-e-nau nashat-o-be-KHudi mein hum
phaTe phaTe se baadalon mein
hans rahi hai chandni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.