haq-pasandi
mujhe pasand hai kyoñ merī shām-e-tanhā.ī
ye mujh se koī na pūchhe ki maiñ batā na sakūñ
ki apne aap pe mujh ko bhī e'timād nahīñ
kisī ne jab bhī koī baat mujh se pūchhī hai
daroġh maslahat-āmez se liyā hai kaam
kahā hai ashk ko shabnam to daaġh ko laala
kabhī savād-e-shab-e-ġham ko nuur kā haala
maiñ apne ḳhol se niklūñ to kis tarah niklūñ
zarūr hogī sar-e-bazm merī rusvā.ī
dikhā.ūñ dāġh-e-uyūb-e-barahnagī kyūñkar
maiñ sab ke sāmne nang-e-vajūd kahlā.ūñ
na hogī mujh se ye laġhzish mujhe mu'āf karo
zamāna ab bhī mujhe hosh-mand kahtā hai
naqīb-e-sidq-o-safā haq-pasand kahtā hai
mujhe pasand hai kyon meri sham-e-tanhai
ye mujh se koi na puchhe ki main bata na sakun
ki apne aap pe mujh ko bhi e'timad nahin
kisi ne jab bhi koi baat mujh se puchhi hai
darogh maslahat-amez se liya hai kaam
kaha hai ashk ko shabnam to dagh ko lala
kabhi sawad-e-shab-e-gham ko nur ka haala
main apne KHol se niklun to kis tarah niklun
zarur hogi sar-e-bazm meri ruswai
dikhaun dagh-e-uyub-e-barahnagi kyunkar
main sab ke samne nang-e-wajud kahlaun
na hogi mujh se ye laghzish mujhe mu'af karo
zamana ab bhi mujhe hosh-mand kahta hai
naqib-e-sidq-o-safa haq-pasand kahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.