haqiqat-o-afsana
tirī palkeñ tirī āñkheñ tire abrū kī lachak
tirī qāmat kī darāzī tirī zulfoñ kī mahak
tire altāf kā aalam tirī qurbat kā jamāl
tire hoñToñ kī ḳhamoshī tirī āñkhoñ ke savāl
ik chamaktā huā sho.ala tirā rangīn badan
ik taḌaptī huī bijlī tirī āñkhoñ kī kiran
ek taptā huā sahrā tirī duurī kā ḳhayāl
ek mahkā huā gulshan hai tirā roz-e-visāl
ek chaḌhtā huā dariyā hai tū ik bahtī naav
tere siine kā tamavvuj tire qāmat kā bahāo
tire andāz kā jaadū tire ishvoñ kā fusūñ
sab ke sab ban ga.e mere liye sāmān-e-junūñ
tere aġhmāz meñ pinhāñ hai mohabbat kī jhalak
lab-e-iqrār pe inkār kā pahra kab tak
chhiḌ ga.ī hai jo kabhī pairahan-e-chust kī baat
phir ga.ī hai mirī āñkhoñ meñ shagūfe kī zaat
mere har ek ishāre ko samajhne vaalā
qulzum-e-vaqt ke dhāre ko samajhne vaalā
mere har naaz ko āñkhoñ pe biThāyā tū ne
mere andāz ko siine se lagāyā tū ne
mere atvār ke sāñche meñ ba-sad-shauq Dhalā
ātish-e-ġham meñ mire vāste chup-chāp jalā
merī ḳhātir ġham-e-dūrī bhī gavārā hai tujhe
mere iḳhlās kā duniyā meñ sahārā hai tujhe
merī har baat hai tere liye qānūn-e-hayāt
terā mehvar hai zamāne meñ faqat merī zaat
aisā ma.asūm koī aur zamāne meñ kahāñ
itnī sachchā.ī kisī aur fasāne meñ kahāñ
teri palken teri aankhen tere abru ki lachak
teri qamat ki daraazi teri zulfon ki mahak
tere altaf ka aalam teri qurbat ka jamal
tere honTon ki KHamoshi teri aankhon ke sawal
ek chamakta hua shoala tera rangin badan
ek taDapti hui bijli teri aankhon ki kiran
ek tapta hua sahra teri duri ka KHayal
ek mahka hua gulshan hai tera roz-e-visal
ek chaDhta hua dariya hai tu ek bahti naw
tere sine ka tamawwuj tere qamat ka bahao
tere andaz ka jadu tere ishwon ka fusun
sab ke sab ban gae mere liye saman-e-junun
tere aghmaz mein pinhan hai mohabbat ki jhalak
lab-e-iqrar pe inkar ka pahra kab tak
chhiD gai hai jo kabhi pairahan-e-chust ki baat
phir gai hai meri aankhon mein shagufe ki zat
mere har ek ishaare ko samajhne wala
qulzum-e-waqt ke dhaare ko samajhne wala
mere har naz ko aankhon pe biThaya tu ne
mere andaz ko sine se lagaya tu ne
mere atwar ke sanche mein ba-sad-shauq Dhala
aatish-e-gham mein mere waste chup-chap jala
meri KHatir gham-e-duri bhi gawara hai tujhe
mere iKHlas ka duniya mein sahaara hai tujhe
meri har baat hai tere liye qanun-e-hayat
tera mehwar hai zamane mein faqat meri zat
aisa masum koi aur zamane mein kahan
itni sachchai kisi aur fasane mein kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.