har roz hum apne KHwabon ki tauhin karen
ham roz ham apne ḳhvāboñ kī tauhīn kareñ
vo ḳhvāb
jo apne pal-pal kī us raakh se ham ta.amīr kareñ
jab dil meñ dard bagūla ban kar uThtā hai
siine meñ ghar kā sannāTā
āñkhoñ meñ vahshat boltī hai
jab paañv meñ āvārgī kī zambīl liye
ham dhuāñ uḌātī bastī meñ
tanhā āvāra phirte haiñ
aur chehroñ ke sailāb meñ tujh ko DhūñDte haiñ
jab vīrāñ ghar
zaḳhmī āñgan
nāsūr baraste lahje meñ fariyād kareñ
jab bachche zard dopahroñ meñ
ik dhuup kī chādar taan ke sar par naach kareñ
ham aisī zard dopahroñ meñ
jab dukh kī raakh barastī hai
is raakh ko terī yaad ke zevar pahnā kar
rātoñ ko ḳhvāb pirote haiñ
aur dūsrī sub.h
vo ḳhvāb anā kī thaal meñ rakh
majrūh pindār ke hāthoñ
tere qadmoñ pe ham Dālte haiñ
vo ḳhvāb jo apne pal-pal kī is raakh se ham ta.amīr kareñ
har roz ham apne ḳhvāboñ kī tauhīn kareñ
hum roz hum apne KHwabon ki tauhin karen
wo KHwab
jo apne pal-pal ki us rakh se hum tamir karen
jab dil mein dard bagula ban kar uThta hai
sine mein ghar ka sannaTa
aankhon mein wahshat bolti hai
jab panw mein aawargi ki zambil liye
hum dhuan uDati basti mein
tanha aawara phirte hain
aur chehron ke sailab mein tujh ko DhunDte hain
jab viran ghar
zaKHmi aangan
nasur baraste lahje mein fariyaad karen
jab bachche zard dopahron mein
ek dhup ki chadar tan ke sar par nach karen
hum aisi zard dopahron mein
jab dukh ki rakh barasti hai
is rakh ko teri yaad ke zewar pahna kar
raaton ko KHwab pirote hain
aur dusri subh
wo KHwab ana ki thaal mein rakh
majruh pindar ke hathon
tere qadmon pe hum Dalte hain
wo KHwab jo apne pal-pal ki is rakh se hum tamir karen
har roz hum apne KHwabon ki tauhin karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.