har shajar jag uTha
Interesting Fact
(Auraq, Lahore, March, April 1973)
ghanTiyāñ bajne lagīñ Dhor chalte khetoñ ko
rāste jaag uThe saarī fazā jaag uThī
sub.h-e-kāzib ke dhuñdlakoñ meñ ujāle chhiTke
har shajar jaag uThā bād-e-sabā jaag uThī
apne shānoñ pe sajā.e hue azmat ke nishāñ
apne khetoñ kī muñDeroñ ke nigahbān chale
jin se tahzīb ke goshoñ ne jilā paa.ī hai
un ziyā-bār saveroñ ke nigahbān chale
kachchī īñToñ ke makānoñ kā muqaddar jaagā
aag raushan huī uploñ kā dhuāñ phail gayā
dar-o-dīvār se yuuñ pyaar ke saa.e phūTe
ziist kā saaya bhī tā-hadd-e-gumāñ phail gayā
shor karte hue shahzāde gharoñ se nikle
jin ke malbūs darīda bhī haiñ bosīda bhī
jin ke qadmoñ se lipaTtī hai mire gaañv kī dhuul
jin kī tauqīr ko uThte haiñ jahāñ-dīda bhī
ghanTiyan bajne lagin Dhor chalte kheton ko
raste jag uThe sari faza jag uThi
subh-e-kazib ke dhundlakon mein ujale chhiTke
har shajar jag uTha baad-e-saba jag uThi
apne shanon pe sajae hue azmat ke nishan
apne kheton ki munDeron ke nigahban chale
jin se tahzib ke goshon ne jila pai hai
un ziya-bar saweron ke nigahban chale
kachchi inTon ke makanon ka muqaddar jaga
aag raushan hui uplon ka dhuan phail gaya
dar-o-diwar se yun pyar ke sae phuTe
zist ka saya bhi ta-hadd-e-guman phail gaya
shor karte hue shahzade gharon se nikle
jin ke malbus darida bhi hain bosida bhi
jin ke qadmon se lipaTti hai mere ganw ki dhul
jin ki tauqir ko uThte hain jahan-dida bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.