harf-e-dua ho jae
ḳhvāhishoñ ke ghane bargad ke tale jo kaT jaa.e
zindagī ḳhvāb-gah-e-nik.hat-e-gesū to nahīñ
naġhma-e-ārzū sāñsoñ meñ ghulā jaatā hai
hasrateñ kāvish-e-insāñ kī jibillat to nahīñ
phir bujhā sā hai nigāhoñ meñ charāġh-e-saharī
rah ga.e ḳhvāb adhūre mirī palkoñ ke tale
apne hī ḳhuuñ meñ rañgī vasl kī betāb ghaḌī
zaḳhm-dar-zaḳhm ka.ī vaqt ke ḳhanjar TuuTe
ek ehsās hī ab zinda-o-pā.inda hai
ḳhvāhishoñ ke ghane bargad ke tale ziist kaTe
mausam-e-kaif ḳhush-anjām kī ummīd liye
nīm-tābāñ ye nazar harf-e-duā ho jaa.e
KHwahishon ke ghane bargad ke tale jo kaT jae
zindagi KHwab-gah-e-nikhat-e-gesu to nahin
naghma-e-arzu sanson mein ghula jata hai
hasraten kawish-e-insan ki jibillat to nahin
phir bujha sa hai nigahon mein charagh-e-sahari
rah gae KHwab adhure meri palkon ke tale
apne hi KHun mein rangi wasl ki betab ghaDi
zaKHm-dar-zaKHm kai waqt ke KHanjar TuTe
ek ehsas hi ab zinda-o-painda hai
KHwahishon ke ghane bargad ke tale zist kaTe
mausam-e-kaif KHush-anjam ki ummid liye
nim-taban ye nazar harf-e-dua ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.