harf-e-yaqin
ek din vaqt kā jhulsā huā mailā chehra
ik dil-afroz jilā pā.egā
sarguzisht-e-ġham-e-daurāñ kā musannif ik din
saarī nā-gufta hikāyāt ko jā.egā
vo dil-ārām se mausam vo ḳhunuk vādī-e-rañg
jin kī ḳhushbū pe ijāra rahā
saffāk sitam-rānoñ kā
jin ke phūloñ meñ phaloñ meñ thā lahū
saikḌoñ jāñ-soḳhtā insānoñ kā
ab vo tārīḳh-e-zubūñ
vaqt na dohrā.egā
vo pasīna jo Tapaktā hai thake aur tape jismoñ se
mere ehsās ke māthe pe namī hai jis kī
ek din rū-e-zamīñ kā vahī ġhāza ban kar
apnī khoī huī mehnat kā sila pā.egā
aur
shaddād-sifat
ġham kā bhayānak aaseb
maut ke ghaaT utar jā.egā
ek din waqt ka jhulsa hua maila chehra
ek dil-afroz jila paega
sarguzisht-e-gham-e-dauran ka musannif ek din
sari na-gufta hikayat ko jaega
wo dil-aram se mausam wo KHunuk wadi-e-rang
jin ki KHushbu pe ijara raha
saffak sitam-ranon ka
jin ke phulon mein phalon mein tha lahu
saikDon jaan-soKHta insanon ka
ab wo tariKH-e-zubun
waqt na dohraega
wo pasina jo Tapakta hai thake aur tape jismon se
mere ehsas ke mathe pe nami hai jis ki
ek din ru-e-zamin ka wahi ghaza ban kar
apni khoi hui mehnat ka sila paega
aur
shaddad-sifat
gham ka bhayanak aaseb
maut ke ghaT utar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.