harf ek jangal
kitābeñ merā jañgal haiñ
jinheñ maiñ kaaT kar ab bārahvīñ ziine par baiThā huuñ
muāfī ke hayūloñ meñ chamaktī sūratoñ se duur tanhā
harf ke sadmāt sahtā huuñ
ki maiñ ḳhud āgahī ke bhārī sāñsoñ kā samundar huuñ
jise namkīn paanī kī sazā ābādiyoñ se
bādbān kī taraf kaafī duur rakhtī hai
kitābeñ merā jañgal haiñ
jahāñ par nafratoñ kī tez dhaḌkan
bartarī kī chīḳhtī āvāz kī dastak nahīñ
jo sub.h ko merī ragoñ meñ bāvle-pan ke
chamakte shoḳh sūraj ko jagā.e
maiñ phaTī āñkhoñ se jalte raaz ko saḌkoñ pe uryāñ milūñ
kitābeñ merā īñdhan haiñ
maiñ kitāboñ meñ sulagtī aag huuñ
jaltā huā kāġhaz
dhueñ meñ phailtī tasvīr huuñ
maiñ in kitāboñ kā irāda huuñ
jise tahrīr kī ḳhvāhish dimāġhoñ meñ hirāsāñ hai
hirāsāñ haiñ
kitābeñ merī āñkheñ haiñ
magar maiñ to vo khultā band hotā chīḳhtā dar huuñ
jo kabhī se kahkashāñ kā muntazir hai
kitaben mera jangal hain
jinhen main kaT kar ab barahwin zine par baiTha hun
muafi ke hayulon mein chamakti suraton se dur tanha
harf ke sadmat sahta hun
ki main KHud aagahi ke bhaari sanson ka samundar hun
jise namkin pani ki saza aabaadiyon se
baadban ki taraf kafi dur rakhti hai
kitaben mera jangal hain
jahan par nafraton ki tez dhaDkan
bartari ki chiKHti aawaz ki dastak nahin
jo subh ko meri ragon mein bawle-pan ke
chamakte shoKH suraj ko jagae
main phaTi aankhon se jalte raaz ko saDkon pe uryan milun
kitaben mera indhan hain
main kitabon mein sulagti aag hun
jalta hua kaghaz
dhuen mein phailti taswir hun
main in kitabon ka irada hun
jise tahrir ki KHwahish dimaghon mein hirasan hai
hirasan hain
kitaben meri aankhen hain
magar main to wo khulta band hota chiKHta dar hun
jo kabhi se kahkashan ka muntazir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.