hasin duniya ujaD gai to
hasīn duniyā ujaḌ ga.ī to agar kahīñ ye bigaḌ ga.ī to
gumāñ se aage nikal ga.ī to gumāñ se aage gumān kar lo
uThāo parda aur dekh lo ḳhud zamīñ-faroshī ke ruup kitne
naqāb-poshoñ kī bhiiḌ meñ sab hamāre kal ke ye saudāgar haiñ
un hī kī hirs-o-havas ke baa.is hamārī duniyā ujaḌ rahī hai
garm havāoñ meñ ghir rahī hai
badalte mausam kā isti.āra zamīñ ko tārāj kar rahā hai
pahāḌ-o-dariyā nigalne vaale shajar-faroshī meñ lag ga.e haiñ
vo ḳhushnumā giit gaate panchhī ab apne raste badal rahe haiñ
shikārī āñkhoñ se bach rahe haiñ
ye dariyā garmī se jal rahe haiñ pahāḌ karvaT badal rahe haiñ
zamīñ kā zevar utar rahā hai aur jañgaloñ meñ ġhadar machā hai
sulagte sahrā basāne vaalo nirālī duniyā sajāne vaalo
samundaroñ par shahr banāo falak pe tum kahkashāñ sajāo jahān-e-nau ḳhūb-tar basāo
magar zamīñ ko na bhuul jaanā luTā rahī hai jo āb-o-dāna
hasīn duniyā ujaḌ ga.ī to agar kahīñ ye bigaḌ ga.ī to gumāñ se aage nikal ga.ī to
na tum rahoge na ham raheñge na mausamoñ ke ye rañg raheñge
hasin duniya ujaD gai to agar kahin ye bigaD gai to
guman se aage nikal gai to guman se aage guman kar lo
uThao parda aur dekh lo KHud zamin-faroshi ke rup kitne
naqab-poshon ki bhiD mein sab hamare kal ke ye saudagar hain
un hi ki hirs-o-hawas ke bais hamari duniya ujaD rahi hai
garm hawaon mein ghir rahi hai
badalte mausam ka istiara zamin ko taraj kar raha hai
pahaD-o-dariya nigalne wale shajar-faroshi mein lag gae hain
wo KHushnuma git gate panchhi ab apne raste badal rahe hain
shikari aankhon se bach rahe hain
ye dariya garmi se jal rahe hain pahaD karwaT badal rahe hain
zamin ka zewar utar raha hai aur jangalon mein ghadar macha hai
sulagte sahra basane walo nirali duniya sajaane walo
samundaron par shahr banao falak pe tum kahkashan sajao jahan-e-nau KHub-tar basao
magar zamin ko na bhul jaana luTa rahi hai jo aab-o-dana
hasin duniya ujaD gai to agar kahin ye bigaD gai to guman se aage nikal gai to
na tum rahoge na hum rahenge na mausamon ke ye rang rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.