hawa ab chal paDi hai
saltanat ke zañg-ḳhurda āhanī mahbas meñ ik ḳhilqat chhupī hai
beḌiyoñ aur beḌiyoñ se eḌiyoñ par paḌne vaale zaḳhm kī aadī
ye ik bīmār ḳhilqat
āhanī kanTop se sar ko Dhake
mahbas kī dīvāroñ pe apne nāḳhunoñ se
aaḌī TeḌhī tirchhī lakīreñ khurachtī
shaah kī tausīf meñ ġhaltāñ
razā raġhbat se shadd-o-mad se masrūf-e-amal hai
aur agar taaza havā kā koī jhoñkā
jab kabhī mahbas meñ dar aa.e
to ye ḳhilqat bilaktī sarsarātī sī mirī āvāz meñ
sargoshiyoñ meñ
muḳhbirī kartī hai in taaza havāoñ kī
pas-e-zindāñ sipāhī
zañg-ḳhurda āhanī mahbas kī dīvāroñ se
apne kaan joḌe muḳhbirī ke muntazir
taaza havā ke narm jhoñke kī giraftārī raqam karne ko bas tayyār baiThe haiñ
ḳhabar de do
havā ko qaid karnā is qadar āsāñ nahīñ hai
ye agar chaltī hai to
koh-e-girāñ ko kaaT detī hai
kisī dīmak-zada būḌhe shajar ko
us kī jaḌ se hī uThā kar pheñk detī hai
havā tūfān ban jaa.e to sab kuchh hī ḳhas-o-ḳhāshāk kartī hai
ḳhabar de do
havā ab chal paḌī hai
saltanat ke āhanī mahbas ke qaidī
muḳhbirī karne meñ pīchhe rah ga.e haiñ
aur giraftārī ke ḳhvāhish-mand
vo saare sipāhī thak chuke haiñ
āhanī mahbas kī dīvāroñ meñ raḳhne ho chuke haiñ
aur havā sargoshiyoñ se
tez-tar atrāf meñ hadd-e-nazar tak
ab musalsal phailtī hī jā rahī hai
.
ye ḳhabar de do
havā ko qaid karnā is qadar āsāñ nahīñ hai
havā ab chal paḌī hai
saltanat ke zang-KHurda aahani mahbas mein ek KHilqat chhupi hai
beDiyon aur beDiyon se eDiyon par paDne wale zaKHm ki aadi
ye ek bimar KHilqat
aahani kanTop se sar ko Dhake
mahbas ki diwaron pe apne naKHunon se
aaDi TeDhi tirchhi lakiren khurachti
shah ki tausif mein ghaltan
raza raghbat se shadd-o-mad se masruf-e-amal hai
aur agar taza hawa ka koi jhonka
jab kabhi mahbas mein dar aae
to ye KHilqat bilakti sarsaraati si meri aawaz mein
sargoshiyon mein
muKHbiri karti hai in taza hawaon ki
pas-e-zindan sipahi
zang-KHurda aahani mahbas ki diwaron se
apne kan joDe muKHbiri ke muntazir
taza hawa ke narm jhonke ki giraftari raqam karne ko bas tayyar baiThe hain
KHabar de do
hawa ko qaid karna is qadar aasan nahin hai
ye agar chalti hai to
koh-e-giran ko kaT deti hai
kisi dimak-zada buDhe shajar ko
us ki jaD se hi uTha kar phenk deti hai
hawa tufan ban jae to sab kuchh hi KHas-o-KHashak karti hai
KHabar de do
hawa ab chal paDi hai
saltanat ke aahani mahbas ke qaidi
muKHbiri karne mein pichhe rah gae hain
aur giraftari ke KHwahish-mand
wo sare sipahi thak chuke hain
aahani mahbas ki diwaron mein raKHne ho chuke hain
aur hawa sargoshiyon se
tez-tar atraf mein hadd-e-nazar tak
ab musalsal phailti hi ja rahi hai
ye KHabar de do
hawa ko qaid karna is qadar aasan nahin hai
hawa ab chal paDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.